इसके अलावा मेरा कोई कसूर न था।
Mere Lehje Mein Jee Hujoor Na Tha,
Iske Alaawa Mera Koi Kasoor Na Tha.
जलो वहाँ, जहाँ जरूरत हो,
उजालों में चिरागों के मायने नहीं होते।
Jalo Wahaan, Jahaan Jaroorat Ho,
Ujaalon Mein Chiraagon Ke Maayane Nahin Hote.
मंजिलें तो कब की नसीबों में तकसीम हो गईं,
हम खुश खयाल लोग अभी तक सफर में हैं।
Manzilein To Kab Ki Naseebon Mein Takseem Ho Gayin,
Hum Khush Khayaal Log Abhi Tak Safar Mein Hain.
महफिल सजी थी लफ्जों में दुनिया जहान की,
मेरी शायरी का नाम तब तलाश नहीं था।
Maehfil Saji Thi Lafzon Mein Duniya Jahaan Ki,
Meri Shayari Ka Naam Tab Talaash Nahin Tha.
उम्मीदें, ख्वाहिशें, जरूरतें, जिम्मेदारियाँ,
इस घर में मैं कभी, अकेला नहीं रहता।
Ummeeden, Khwaahishen, Jarooratein, Jimmedaariyaan,
Iss Ghar Mein Main Kabhi, Akela Nahin Rehta.
ये दबदबा, ये हुकुमत, ये नशा, ये दौलतें,
सब किरायेदार है, घर बदलते रहते हैं।
Ye Dabdaba, Ye Hukoomat, Ye Nasha, Ye Daulatein,
Sab Kiraayedaar Hain, Ghar Badalte Rehte Hain.
कुछ ख्वाहिशों को नींद भी नहीं आती,
इस नींद की भी अपनी कुछ ख्वाहिशें हैं।
Kuchh Khwaahishon Ko Neend Bhi Nahin Aati,
Iss Neend Ki Bhi Apani Kuchh Khwaahishein Hain.
भरे बाजार से अक्सर मैं खाली हाथ आया हूँ,
कभी ख्वाहिश नहीं होती कभी पैसे नहीं होते।
Bhare Bazaar Se Aksar Main Khali Haath Aaya Hoon,
Kabhi Khwahish Nahi Hoti Kabhi Paise Nahi Hote.
तलब करें तो मैं अपनी आँखें भी उन्हें दे दूँ,
मगर ये लोग मेरी आँखों के ख्वाब माँगते हैं।
Talab Karein To Main Apni Aankhein Bhi Unhe De Du,
Magar Ye Log Meri Aankhon Ke Khwab Maangte Hain.
मैं एक शाम जो रोशन दीया उठा लाया,
तमाम शहर कहीं से हवा उठा लाया।
Main Ek Shaam Jo Roshan Deeya Uthha Laya,
Tamaam Shahar Kahin Se Hawa Uthha Laya.
नजरों में दोस्तों की जो इतना खराब है,
उसका कसूर ये है कि वो कामयाब है।
Najron Mein Doston Ki Jo Itna Kharab Hai,
Uska Qasoor Ye Hai Ki Wo Kaamyab Hai.