Gam Bhari Shayari

Advertisement

Gam Shayari, Gham Ka Fasaana Hai

शिकायत क्या करूँ दोनों तरफ ग़म का फसाना है,
मेरे आगे मोहब्बत है तेरे आगे ज़माना है।
Shikayat Kya Karoon Dono Taraf Gham Ka Fasaana Hai,
Mere Aage Mohobbat Hai Tere Aage Zamana Hai.

Gham Ka Fasaana Hindi Gam Bhari Shayari

देखकर तुमको अक्सर हमें ये एहसास होता है,
कभी कभी ग़म देने वाला भी कितना ख़ास होता है।
Dekh Kar Tumko Aksar Humein Ye Ehsaas Hota Hai,
Kabhi Kabhi Gham Dene Wala Bhi Kitna Khaas Hota Hai.

Advertisement

Wohi Gham Hai Jidhar Jayein

तेरी दुनिया में जीने से तो बेहतर हैं कि मर जायें,
वही आँसू, वही आहें, वही ग़म है जिधर जायें,
कोई तो ऐसा घर होता जहाँ से प्यार मिल जाता,
वही बेगाने चेहरे हैं कहाँ जायें किधर जायें।
Teri Duniya Mein Jeene Se To Behtar Hai Ki Mar Jayein,
Wohi Aansoo, Wohi Aahein, Wohi Gham Hai Jidhar Jayein,
Koi To Aisa Ghar Hota Jahan Se Pyar Mil Jata,
Wahi Begaane Chehare Hain Kahan Jayein Kidhar Jayein.

Advertisement

Wo Ghamon Se Choor Niklega

यकीन न आये तो एक बार पूछ कर देखो,
जो हँस रहा है वो ग़मों से चूर निकलेगा।
Yakeen Na Aaye To Ek Baar Poochh Kar Dekh Lo,
Jo Hans Raha Hai Wo Ghamon Se Choor Niklega.

Sorrow Shayari in Hindi Ghamon Se Choor

कुछ ग़मों का होना भी जरूरी है ज़िन्दगी में,
ज़िंदा होने का अहसास बना रहता है।
Kuchh Ghamon Ka Hona Bhi Jaroori Hai Zindagi Mein,
Zinda Hone Ka Ehsaas Bana Rehta Hai.

Advertisement

Gam Ki Shayari, Aise To Gham Nahi Mile

ऐसा नहीं के तेरे बाद अहल-ए-करम नहीं मिले,
तुझ सा नहीं मिला कोई, लोग तो कम नहीं मिले,
एक तेरी जुदाई के दर्द की बात और है,
जिनको न सह सके ये दिल, ऐसे तो ग़म नहीं मिले।
Aisa Nahi Ki Tere Baad Ahel-e-Qaram Nahi Mile,
Tujh Sa Nahi Mila Koyi Log To Kam Nahi Mile,
Ek Teri Judaai Ke Dard Ki Baat Aur Hai,
Jinko Na Seh Sake Ye Dil, Aise To Gham Nahi Mile.

Advertisement

Gam Shayari, Wo Tera Gham Tha

वो तेरा ग़म था कि तासीर मेरे लहजे की,
कि जिसको हाल सुनाते थे रुला देते थे।
Wo Tera Gham Tha Ki Taaseer Mere Lahje Ki,
Ki Jisko Haal Sunate The Rula Dete The.

शायरों की बस्ती में कदम रखा तो जाना,
ग़मों की महफिल भी कमाल जमती है।
Shayaron Ki Basti Mein Kadam Rakha To Jana,
Ghamon Ki Mehfil Bhi Kamaal Jamti Hai.

‹ Prev12347