Two Line Shayari | दो लाइन शायरी

Advertisement

Zamana Badal Gaya Kaise

वही ज़मीन है वही आसमान वही हम तुम,
सवाल यह है ज़माना बदल गया कैसे।
Wohi Zamin Hai Wahi Asmaan Wahi Hum Tum,
Sawaal Ye Hai Zamana Badal Gaya Kaise.

ज़िंदा रहने की अब ये तरकीब निकाली है,
ज़िंदा होने की खबर सबसे छुपा ली है।
Zinda Rahene Ki Ab Ye Tarkeeb Nikaali Hai,
Zinda Hone Ki Khabar Sabse Chhupa Li Hai.

Advertisement

2 Line Shayari, Kismat Ki Pari

बंद मुट्ठी से जो उड़ जाती है क़िस्मत की परी,
इस हथेली में कोई छेद पुराना होगा।
Band Mutthi Se Jo Ud Jati Hai Kismat Ki Pari,
Iss Hatheli Mein Koi Chhed Purana Hoga.

Kismat Ki Pari Two Line Hindi Shayari

मुझे ऊँचाइओं पर देखकर हैरान है बहुत लोग,
‪‎पर‬ किसी ने मेरे पैरो के छाले नहीं देखे।
Mujhe Uchayion Par Dekhkar Hairan Hain Bahut Log,
Par Kisi Ne Mere Pairon Ke Chhale Nahi Dhekhe.

Advertisement

Two Line Shayari, Kirdaaron Ke Faisle

अल्फाज तय करते हैं फैसले किरदारों के,
उतरना दिल में है या दिल से उतरना है।

Alfaz Tay Karte Hain Faisle Kirdaaron Ke,
Utarna Dil Mein Hai Ya Dil Se Utarna Hai.

Advertisement

Shayari 2 Lines, Waqt Ki Taheni Par

उड़ जायेंगे तस्वीरों से रंगों की तरह हम,
वक़्त की टहनी पर हैं परिंदों की तरह हम।
Ud Jayenge Tasviron Se Rangon Ki Tarah Hum,
Waqt Ki Taheni Par Hain Parindo Ki Tarah Hum.

Waqt Ki Taheni Par Shayari Two Lines

सुलझा हुआ सा समझते हैं मुझको लोग,
उलझा हुआ सा मुझमें कोई दूसरा भी है।
Suljha Hua Sa Samjhate Hain Mujhko Log,
Uljha Hua Sa Mujh Mein Koi Doosra Bhi Hai.

Advertisement

Bahut Se Log The Mehmaan

बहुत से लोग थे मेहमान मेरे घर लेकिन,
वो जानता था कि है एहतमाम किसके लिए।
Bahut Se Log The Mehmaan Mere Ghar Lekin,
Wo Janta Tha Ki Hai Ehtmaam Kiske Liye.

वाकिफ था मेरी खाना-खराबी से वो शख्स,
जो मुझसे मेरे घर का पता पूछ रहा था।
Waqif Tha Meri Khana-Kharabi Se Wo Shakhs,
Jo Mujhse Mere Ghar Ka Pataa Poochh Raha Tha.