Hurt Shayari

Advertisement

Zakhm Bhi Bhar Jayenge

तेरे मिलने का गुमान तेरे न मिलने की खलिश,
वक़्त गुज़रेगा तो ज़ख्म भी भर जायेंगे।

Tere Milne Ka Gumaan Tere Na Milne Ki Khalish,
Waqt Gujrega To Zakhm Bhi Bhar Jayenge.

उसी तरह से हर इक ज़ख़्म खुशनुमा देखे,
वो आये तो मुझे अब भी हरा-भरा देखे।

Usee Tarah Se Har Ek Zakhm KhushNuma Dekhe,
Wo Aaye To Mujhe Ab Bhi Hara Bhara Dekhe.

Advertisement

Aakhiri Khat Tera Hurt Shayari

Tera Aakhiri Khat Hurt Shayari

हर्फ़-हर्फ़ इस कदर था तल्खियों से भरा,
आखिरी ख़त तेरा दीमक से भी खाया ना गया।
Harf-Harf Iss Kadar Tha Talkhiyon Se Bhara,
Aakhiri Khat Tera Deemak Se Bhi Khaya Na Gaya.

तहज़ीब में भी उसकी क्या ख़ूब अदा थी,
नमक भी अदा किया तो ज़ख्मों पर छिड़क कर।
Tahzeeb Mein Bhi Uski Kya Khoob Adaa Thi,
Namak Bhi Adaa Kiya To Zakhmo Pe Chhidak Kar.

Advertisement

Wo Zakhm Kabhi Fir

हमने तो बस इतना ही सीखा है दोस्तों,
राह-ए-वफ़ा में कभी किनारा नहीं मिलता,
जो मिल जाये इस राह पर कभी यार से,
वो ज़ख्म कभी फिर दोबारा नहीं सिलता।

Humne To Bas Itna Hi Seekha Hai Dosto,
Raah-e-Mohabbat Mein Kabhi Kinara Nahi Milta,
Jo Mil Jaye Iss Raah Par Kabhi Yaar Se,
Wo Zakhm Kabhi Fir Dobara Nahi Silta.

Advertisement

Hum Tere Qabil Nahi Rahe

जा और कोई ज़ब्त की दुनिया तलाश कर,
ऐ इश्क़ अब हम तेरे क़ाबिल नहीं रहे।
Ja Aur Koi Jabt Ki Duniya Talash Kar,
Ai Ishq Ab Hum Tere Qabil Nahi Rahe.

Hum Tere Qabil Nahi Rahe Shayari

नए ज़ख्म के लिए तैयार हो जा ऐ दिल,
कुछ लोग प्यार से पेश आ रहे हैं।
Naye Zakhm Ke Liye Tayyar Ho Ja Ai Dil,
Kuchh Log Pyar Se Pesh Aa Rahe Hain.

Advertisement

Hurt Shayari Tere Diye Zakhm

सितम सह कर भी कितने ग़म छिपाये हमने,
तेरी खातिर हर दिन आँसू बहाये हमने,
तू छोड़ गया जहाँ हमें राहों में अकेला,
तेरे दिए ज़ख्म हर एक से छुपाये हमने।

Sitam Seh Kar Bhi Kitne Gham Chhupaye Humne,
Teri Khatir Har Din Aansoo Bahaaye Humne,
Tu Chhod Gaya Jahan Humein Raahon Mein Akela,
Tere Diye Zakhm Har Ek Se Chhupaye Humne.

‹ Prev123