मुझे मालूम है तुमने बहुत बरसात देखी है,
मगर मेरी इन्हीं आँखों से सावन हार जाता है।
Mujhe Maloom Hai Tumne Bahut Barsaat Dekhi Hai,
Magar Meri Inhi Aankhon Se Sawan Haar Jaata Hai.
आँखों में आँसुओं की लकीर बन गयी,
जैसी चाही थी वैसी ही तकदीर बन गयी,
हमने तो चलाई थीं रेत में उँगलियाँ,
गौर से देखा तो आपकी तस्वीर बन गयी।
Aankhon Mein Aansuon Ki Lakeer Ban Gayi,
Jaisi Chaahi Thi Waisi Hi Takdeer Ban Gayi,
Humne To Chalayi Thi Ret Mein Ungliyan,
Gaur Se Dekha To Aapki Tasvir Ban Gayi.
प्यास इतनी है मेरी रूह की गहराई में,
अश्क़ गिरता है तो दामन को जला देता है।
Pyaas Itni Hai Meri Rooh Ki Gehrayi Mein,
Ashq Girta Hai To Daaman Ko Jala Deta Hai.
कम नहीं हैं आँसू मेरी आँखों में मगर,
रोता नहीं कि उनमें उसकी तस्वीर दिखती है।
Kam Nahi Hain Aansoo Meri Ankhon Mein Magar,
Rota Nahi Ke Unme Uski Tasveer Dikhti Hai.
जिसे ले गई है अभी हवा
वो वरक़ था दिल की किताब का,
कहीं आँसुओं से मिटा हुआ
कहीं आँसुओं से लिखा हुआ।
Jise Le Gayi Hai Abhi Hawa,
Wo Warq Tha Dil Ki Kitaab Ka,
Kahin Aansuon Se Mita Hua,
Kahin Aansuon Se Likha Hua.
हँसने की जुस्तजू में दबाया जो दर्द को,
आँसू हमारी आँख में पत्थर के हो गए।
Hasne Ki Justju Mein Dabaaya Jo Dard Ko,
Aansoo Humari Aankh Mein Patthar Ke Ho Gaye.