वो तेरे खत तेरी तस्वीर और सूखे फूल,
बहुत उदास करती हैं मुझको निशानियाँ तेरी।
Wo Tere Khat Teri Tasvir Aur Sookhe Phool,
Bahut Udaas Karti Hain Mujhko Nishaniyan Teri.
मुझे ये डर है तेरी आरजू न मिट जाये,
बहुत दिनों से तबियत मेरी उदास नहीं।
Mujhe Ye Darr Hai Teri Aarzoo Na Mit Jaye,
Bahut Dinon Se Tabiyat Meri Udaas Nahin.
अब न खोलो मेरे घर के उदास दरवाज़े,
हवा का शोर मेरी उलझनें बढ़ा देता है।
Ab Na Kholo Mere Ghar Ke Udaas Darwaze,
Hawa Ka Shor Meri Uljhanein Bada Deta Hai.
चल मेरे हमनशीं अब कहीं और चल,
इस चमन में अब अपना गुजारा नहीं,
बात होती गुलों तक तो सह लेते हम,
अब काँटों पे भी हक हमारा नहीं।
Chal Mere Hum-Nashin Ab Kahin Aur Chal,
Iss Chaman Mein Ab Apna Gujaara Nahi,
Baat Hoti Gulon Tak To Seh Lete Hum,
Ab To Kaanton Pe Bhi Haq Humara Nahi.
तलाश उसकी करो जो किसी के पास न हो,
भुला दो उसे जिस पर विश्वास न हो,
हम तो अपने ग़मों पर भी हँस पड़ते हैं,
वो इसलिए कि सामने वाला उदास न हो।
Talaash Uski Karo Jo Kisi Ke Paas Na Ho,
Bhula Do Use Jis Par Vishwas Na Ho,
Hum To Apne Gamo Par Bhi Hass Padte Hain,
Wo Isliye Ki Samne Wala Udaas Na Ho.
I hope you will definately like this sad shayari page. Share your feedback through comment box or contact us form.
एक ये ख्वाहिश के कोई ज़ख्म न देखे दिल का,
एक ये हसरत कि कोई देखने वाला तो होता।
Ek Ye Khwahish Ki Koi Zakhm Na Dekhe Dil Ka,
Ek Ye Hasrat Ke Koi Dekhne Wala To Hota.
रुसवा कर के निकला तेरे शहर वालों ने मगर,
तू अब भी यही सोंच, मैं तुझे छोड़ आया।
Ruswa Kar Ke Nikaala Tere Shahar Walo Ne Magar,
Tu Ab Bhi Yehi Sonch, Main Tujhe Chhod Aaya
ये वफ़ा की सख़्त राहें ये तुम्हारे पाँव नाज़ुक,
न लो इंतकाम मुझसे मेरे साथ-साथ चल के।
Ye Wafa Ki Sakht Raahein Ye Tumhare Paanvv Nazuk,
Na Lo Intekaam Mujhse Mere Saath-Saath Chal Ke.
सिर्फ चेहरे की उदासी से
भर आये तेरी आँखों में आँसू,
मेरे दिल का क्या आलम है
ये तो तू अभी जानता ही नहीं।
Sirf Chehre Ki Udaasi Se
Bhar Aaye Teri Aankhon Mein Aansoo,
Mere Dil Ka Kya Aalam Hai
Ye To Tu Abhi Jaanta Hi Nahi.
उसे जाने की जल्दी थी
तो मैं आँखों ही आँखों में,
जहाँ तक छोड़ सकता था
वहाँ तक छोड़ आया हूँ।
Usey Jaane Ki Jaldi Thi
To Main Aankhon Hi Aankhon Mein,
Jahan Tak Chhod Sakta Tha
Wahan Tak Chhod Aaya Hoon.