Two Line Shayari | दो लाइन शायरी

Advertisement

Haathon Ki Lakeeron Mein

सुना है अब भी मेरे हाथ की लकीरों में,
नजूमियों को मुक़द्दर दिखाई देता है।
Suna Hai Ab Bhi Mere Haathon Ki Lakeeron Mein,
Najumiyon Ko Muqaddar Dikhayi Deta Hai.

Haathon Ki Lakeeron Mein Shayari Two Line

मौजों से खेलना तो सागर का शौक है,
लगती है कितनी चोट किनारों से पूछिये।
Maujon Se Khelna To Sagar Ka Shauk Hai,
Lagti Hai Kitni Chot Kinaro Se Pucchiye.

Advertisement

Two Liner Shayari, Khwaab Ki Tabeer

मैंने देखा है बहारों में चमन को जलते,
है कोई ख्वाब की ताबीर बताने वाला?

Maine Dekha Hai Bahaaro Mein Chaman Ko Jalte,
Hai Koi Khwaab Ki Tabeer Bataane Wala?

Advertisement

Faasle Rishton Mein Small Shayari

फासले इस कदर हैं आजकल रिश्तों में,
जैसे कोई घर खरीदा हो किश्तों में।
Faasle Iss Kadar Hain AajKal Rishton Mein,
Jaise Koi Ghar Khareeda Ho Kishton Mein.

खुद को भी कभी महसूस कर लिया करो,
कुछ रौनकें खुद से भी हुआ करती हैं।
Khud Ko Bhi Kabhi Mahsoos Kar Liya Karo,
Kuchh Raunakein Khud Se Bhi Hua Karti Hain.

Advertisement

Kaise Basar Zindagi Karein

ये कशमकश है कैसे बसर ज़िन्दगी करें,
पैरों को काट फेंके या चादर बड़ी करें।

Ye KashmKash Hai Kaise Basar Zindagi Karein,
Pairon Ko Kaat Fenke Ya Chaadar Badi Karein.

Kaise Basar Zindagi Karein Shayari

Advertisement

Siyasat Shayari Collection

हम तो शायर हैं सियासत नहीं आती हमको,
हम से मुँह देखकर लहजा नहीं बदला जाता।
Hum To Shayar Hain Siyasat Nahi Aati Humko,
Humse Munh Dekh Kar Lehja Nahi Badla Jata.

इस दौरे सियासत का इतना सा फ़साना है
बस्ती भी जलानी है मातम भी मनाना है।
Iss Daur-e-Siyasat Ka Itna Sa Fasana Hai,
Basti Bhi Jalani Hai Maatam Bhi Manana Hai.