जाती है इस झील की गहराई कहाँ तक,
आँखों में तेरी डूब के देखेंगे किसी रोज।
Jaati Hai Iss Jheel Ki Gehraayi Kahan Tak,
Aankhon Mein Teri Doob Ke Dekhenge Kisi Roj.
महकता हुआ जिस्म तेरा गुलाब जैसा है,
नींद के सफर में तू एक ख्वाब जैसा है,
दो घूँट पी लेने दे आँखों के प्याले से,
नशा तेरी आँखों का शराब जैसा है।
Mahekta Hua Jism Tera Gulaab Jaisa Hai,
Neend Ke Safar Mein Tu Ek Khwaab Jaisa Hai,
Do Ghoont Pee Lene De Aankhon Ke Pyaale Se,
Nashaa Teri Aankhon Mein Sharab Jaisa Hai.
तमाम अल्फाज़ नाकाफी लगे मुझको,
एक तेरी आँखों को बयां करने में।
Tamaam Alfaz NaaKaafi Lage Mujhko,
Ek Teri Aankhon Ko Bayaan Karne Mein.
ये कायनात सुराही थी, जाम आँखें थीं,
मुवसलत का पहला निज़ाम आँखें थीं।
Ye Kaynat Surahi Thi, Jaam Ankhein Thi,
Muwasalat Ka Pehla Nizam Ankhein Thi.
कोई आग जैसे कोहरे में दबी-दबी सी चमके,
तेरी झिलमिलाती आँखों में अजीब सा शमा है।
Koi Aag Jaise Kohre Mein Dabi-Dabi Si Chamke,
Teri Jhilmilati Aankhon Mein Ajeeb Sa Shama Hai.
निगाहे-लुत्फ से इक बार मुझको देख लेते है,
मुझे बेचैन करना जब उन्हें मंजूर होता है।
Nigah-e-Lutf Se Ek Baar Mujhko Dekh Lete Hain,
Mujhe Bechain Karna Jab Unhein Manjoor Hota Hai.
होता है राजे-इश्को-मोहब्बत इन्हीं से फाश,
आँखें जुबाँ नहीं है मगर बेजुबाँ नहीं।
Hota Hai Raz-e-Ishq-o-Mohabbat Inhien Se Fash,
Aankhein Jubaan Nahi Hain Magar Bejubaan Nahi.
साकी को गिला है कि उसकी बिकती नहीं शराब,
और एक तेरी आँखें हैं कि होश में आने नहीं देती।
Saqi Ko Gila Hai Ke Uski Bikti Nahi Sharab,
Aur Ek Teri Aankehin Hain Hosh Mein Aane Nahi Deti.
इतने सवाल थे कि मेरी उम्र से न सिमट सके,
जितने जवाब थे कि तेरी एक निगाह में आ गए।
Itne Sawaal The Ke Meri Umar Se Na Simat Sake,
Jitne Jawaab The Ke Teri Ek Nigah Mein Aa Gaye.