Huyi Hai Kadr Har Ek Saans Ki
मिले जो मुफ्त में उस चीज की कीमत नहीं होती,
हुई है कद्र हर इक साँस की जब वक़्त आया है।
Mile Jo Muft Mein Uss Cheej Ki Keemat Nahi Hoti,
Huyi Hai Kadr Har Ek Saans Ki Jab Waqt Aaya Hai.
वो पहले सा कहीं मुझको कोई मंज़र नहीं लगता,
यहाँ लोगों को देखो अब ख़ुदा का डर नहीं लगता।
Wo Pehle Sa Kahin Mujhko Koi Manzar Nahi Lagta,
Yahan Logon Ko Dekho Ab Khuda Ka Darr Nahi Lagta.
निकल आते हैं आँसू गर जरा सी चूक हो जाये,
किसी की आँख में काजल लगाना खेल थोड़े ही है।
Nikal Aate Hain Aansoo Gar Jara Si Chook Ho Jaye,
Kisi Ki Aankh Mein Kajal Lagana Khel Thode Hi Hai.
कहीं जरूरत से कम तो कहीं जरूरत से ज्यादा,
ऐ कुदरत तुझे हिसाब-किताब करना नहीं आता।
Kahin Jaroorat Se Kam To Kahin Jaroorat Se Jyada,
Ai Kudrat Tujhe Hisaab-Kitaab Karna Nahin Aata.
मुकद्दर की लिखावट का इक ऐसा भी कायदा हो,
देर से किस्मत खुलने वालों का दुगुना फ़ायदा हो।
Muqaddar Ki Likhawat Ka Ek Aisa Bhi Kayeda Ho,
Der Se Kismat Khulne Walo Ka Duguna Fayeda Ho.
किसी को नींद आती है मगर ख्वाबों से नफरत है,
किसी को ख्वाब प्यारे हैं मगर वो सो नहीं पाता।
Kisi Ki Neend Aati Hai Magar Khwabon Se Nafrat Hai,
Kisi Ko Khwab Pyare Hain Magar Wo So Nahi Paata.