वो एक शख्स जो शायर बना गया मुझको।
Sitam To Ye Hai Ke Zalim Sukhan-Sanaas Nahin,
Wo Ek Shakhs Jo Shayar Banaa Gaya Mujhko.
शेर-ओ-सुखन क्या कोई बच्चों का खेल है?
जल जातीं हैं जवानियाँ लफ़्ज़ों की आग में।
Sher-o-Sukhan Kya Koi Bachchon Ka Khel Hai?
Jal Jaati Hain Jawaniyan Lafzon Ki Aag Mein.
चेहरे पर सुकून तो बस दिखाने भर का है,
वरना बेचैन तो हर शख्स ज़माने भर का है।
Chehre Par Sukoon To Bas Dikhaane Bhar Ka Hai,
Varna Bechain To Har Shakhs Zamane Bhar Ka Hai.
फूल बनने की खुशी में मुस्कुरायी थी कली,
क्या खबर थी ये तबस्सुम मौत का पैगाम है।
Phool BanNe Ki Khushi Mein Muskurayi Thi Kali,
Kya Khabar Thi Ye Tabassum Maut Ka Paigam Hai.
हाल जब भी पूछो खैरियत बताते हो,
लगता है मोहब्बत छोड़ दी तुमने।
Haal Jab Bhi Poochho Khairiyat Bataate Ho,
Lagta Hai Mohabbat Chhod Di Tum Ne.
मेरा झुकना और तेरा खुदा हो जाना,
यार अच्छा नहीं इतना बड़ा हो जाना।
Mera Jhukna Aur Tera Khuda Ho Jana,
Yaar Achha Nahi Itna Bada Ho Jana.
तेरी खामोशी, अगर तेरी मज़बूरी है,
तो रहने दे इश्क़ कौन सा जरुरी है।
Teri Khamoshi Agar Teri Majboori Hai,
To Rehne De Ishq Kaun Sa Jaroori Hai.
अगर एहसास बयां हो जाते लफ्जों से,
तो फिर कौन करता तारीफ खामोशियों की।
Agar Ehsaas Bayaan Ho Jaate Lafzon Se,
To Fir Kaun Karta Tareef Khamoshiyon Ki.
अहमियत यहाँ हैसियत को मिलती है,
हम है कि अपने जज्बात लिए फिरते हैं।
Ahmiyat Yahan Haisiyat Ko Milti Hai,
Hum Hain Ki Apne Jazbat Liye Firte Hain.
पसंद आ गए हैं कुछ लोगों को हम,
कुछ लोगों को ये बात पसंद नहीं आयी।
Pasand Aa Gaye Hain Kuchh Logon Ko Hum,
Kuchh Logon Ko Ye Baat Pasand Nahin Aayi.