हालात के कदमों पर समंदर नहीं झुकते,
टूटे हुए तारे कभी ज़मीन पर नहीं गिरते,
बड़े शौक से गिरती हैं लहरें समंदर में,
पर समंदर कभी लहरों में नहीं गिरते।
Haalat Ke Kadamo Par Sikandar Nahi Jhukte,
Toote Huye Taare Kabhi Zamin Par Nahi Girte,
Bade Shauk Se Girti Hai Lahrein Samundar Mein,
Par Samundar Kabhi Lahron Mein Nahi Girte.
महबूब का घर हो या फरिश्तों की हो ज़मीं,
जो छोड़ दिया फिर उसे मुड़ कर नहीं देखा।
Mahboob Ka Ghar Ho Ya Farishton Ki Ho Zamin,
Jo Chhod Diya Fir Usey Mudkar Nahi Dekha.
पत्थर भी तो अब मुझसे किनारा करने लगे,
कि तुम ना सुधरोगे मेरी ठोकरें खा कर।
Patthar Bhi To Ab Mujhse Kinaara Karne Lage,
Ki Tum Na Sudhroge Meri Thokarein Kha Kar.
जुबां पर मोहर लगाना कोई बड़ी बात नहीं,
बदल सको तो बदल दो मेरे खयालों को।
Jubaan Par Mohar Lagana Koi Badi Baat Nahi,
Badal Sako To Badal Do Mere Khayalon Ko.
मैं न अन्दर से समंदर हूँ न बाहर आसमान,
बस मुझे उतना समझ जितना नजर आता हूँ मैं।
Main Na Andar Se Samandar Hoon Na Baahar Se Aasmaan,
Bas Mujhe Utna Samajh Jitna Najar Aata Hoon Main.
हाथ में खंजर ही नहीं आँखों में पानी भी चाहिए,
हमें दुश्मन भी थोड़ा खानदानी चाहिए।
Haath Mein Khanzar Hi Nahi Aankho Mein Paani Bhi Chahiye.
Humein Dushman Bhi Thoda Khandaani Chahiye.
किसकी मजाल थी जो हमको खरीद सकता था,
हम तो खुद ही बिक गए हैं खरीदार देख कर।
Kiski Mazaal Thi Jo Humko Khareed Sakta Tha,
Hum Khud Hi Bik Gaye Hain Khareedar Dekh Kar.
हम बसा लेंगें एक दुनिया किसी और के साथ,
तेरे आगे रोयें अब इतने भी बेगैरत नहीं हैं हम।
Hum Basaa Lenge Ek Duniya Kisi Aur Ke Saath,
Tere Aage Royein Ab Itne Bhi Begairat Nahi Hain Hum.
मेरी तकदीर में जलना है तो जल जाऊँगा,
मैं कोई तेरा वादा तो नहीं जो बदल जाऊँगा,
मुझको न समझाओ मेरी ज़िन्दगी के उसूल,
मैं खुद ही ठोकर खा के संभल जाऊँगा।
Meri Takdeer Mein Jalna Hai To Jal Jaunga,
Main Koi Tera Vada To Nahi Jo Badal Jaunga,
MujhKo Na Samjhaao Meri Zindagi Ke Usool,
Main Khud Hi Thhokar Kha Ke Sambhal Jaunga.