Main Khali Haath Aaya Hoon

Advertisement

भरे बाजार से अक्सर मैं खाली हाथ आया हूँ,
कभी ख्वाहिश नहीं होती कभी पैसे नहीं होते।
Bhare Bazaar Se Aksar Main Khali Haath Aaya Hoon,
Kabhi Khwahish Nahi Hoti Kabhi Paise Nahi Hote.

2 Line Shayari - Main Khali Haath Aaya

तलब करें तो मैं अपनी आँखें भी उन्हें दे दूँ,
मगर ये लोग मेरी आँखों के ख्वाब माँगते हैं।
Talab Karein To Main Apni Aankhein Bhi Unhe De Du,
Magar Ye Log Meri Aankhon Ke Khwab Maangte Hain.

Advertisement

बेगुनाह कोई नहीं गुनाह सबके राज़ होते हैं,
किसी के छुप जाते हैं, किसी के छप जाते हैं।
Be-Gunaah Koi Nahi, Gunaah Sabke Raaz Hote Hain,
Kisi Ke Chhup Jate Hain Kisi Chhap Jate Hain.

शहर में सबको कहाँ मिलती है रोने की जगह,
अपनी इज़्ज़त भी यहाँ हँसने हँसाने से रही।
Shaher Mein Sabko Kahan Milti Hai Rone Ki Jagah,
Apni Izzat Bhi Yehan Hansne Hansaane Se Rahi.

मंजिलें होती हैं कुछ ऐसी कि जिनकी राह में,
दम निकल जाए अगर तो फख्र की ही बात है।
Manzilein Hoti Hain Kuchh Aisi Ke Jinki Raah Mein,
Dam Nikal Jaaye Agar To Fakhr Ki Hi Baat Hai.

Advertisement

Two Line Shayari, Roshan Deeya

Ummeeden Khwaahishen Jarooratein

Advertisement

Read more Two Line Shayari in Hindi