Attitude Shayari

Advertisement

Meri Andaaj Attitude Style Shayari

मेरा यही अंदाज इस ज़माने को खलता है,
इतना पीने के बाद भी सीधा कैसे चलता है।
Meri Yehi Andaaj Iss Zamane Ko Khalta Hai,
Itna Peene Ke Baad Bhi Seedha Kaise Chalta Hai.

Attitude Shayari Mera Yahi Andaaz

ख्वाब में तो ख्वाब पूरे हो नहीं सकते कभी,
इसलिए राहे हकीकत पर चला करता हूँ मैं।
Khwab Mein To Khwab Poore Ho Nahi Sakte Kabhi,
IsLiye Raahe-Hakiqat Par Chala Karta Hoon Main.

Advertisement

Cool Dude Attitude, Bandgi To Apni Fitrat Hai

दिल है कदमों पे किसी के सर झुका हो या न हो,
बंदगी तो अपनी फ़ितरत है ख़ुदा हो या न हो।
Dil Hai Kadmon Pe Kisi Ke Sar Jhuka Ho Ya Na Ho,
Bandgi To Apni Fitrat Hai Khuda Ho Ya Na Ho.

बस दीवानगी की खातिर तेरी गली मे आते हैं,
वरना आवारगी के लिए तो सारा शहर पड़ा है।
Bas Deewangi Ki Khatir Teri Gali Mein Aate Hain,
Varna Aawargi Ke Liye To Saara Shahar Pada Hai.

Advertisement

Dushman Ab Chaahne Lage Hain

जरूरत है मुझे नये नफरत करने वालों की,
पुराने दुश्मन तो अब मुझे चाहने लगे है।
Jaroorat Hai Mujhe Naye Nafrat Karne Walon Ki,
Puraane Dushman To Ab Mujhe Chaahne Lage Hain.

कोई ताबीज़ ऐसा दो कि मैं चालाक हो जाऊं,
बहुत नुकसान देती है मुझे ये सादगी मेरी।
Koi Tabeez Aisa Do Ki Main Chalaak Ho Jaaun,
Bahut Nuksaan Deti Hai Mujhe Ye Saadgi Meri.

Advertisement

Tewar Shayari, Zamane Mein Dum Nahi

हमको मिटा सके वो ज़माने में दम नहीं,
हमसे ज़माना खुद है ज़माने से हम नहीं।
Humko Mita Sake Wo Zamane Mein Dum Nahi,
Humse Zamana Khud Hai Zamane Se Hum Nahi.

Zamane Mein Dum Nahi Shayari

ये मत समझ कि तेरे काबिल नहीं हैं हम,
तड़प रहे हैं वो जिसे हासिल नहीं हैं हम।
Ye Mat Samajh Ki Tere Kabil Nahi Hain Hum,
Tadap Rahe Hain Wo Jinhein Haasil Nahi Hain Hum.

Advertisement

Aukat Shayari, Aandhi Aukaat Main Rahe

सूरज, चाँद और सितारे मेरे साथ में रहे,
जब तक तुम्हारा हाथ मेरे हाथ में रहे,
शाखों से जो टूट जाये वो पत्ते नहीं हैं हम,
आँधी से कोई कह दे कि औकात में रहे।

Sooraj, Chaand Aur Sitare Mere Saath Mein Rahe,
Jab Tak Tumhara Haath Mere Haath Mein Rahe,
Shakhon Se Jo Toot Jaye Wo Patte Nahi Hain Hum,
Aandhi Se Koi Keh De Ki Aukaat Main Rahe.