एटीट्यूड शायरी (Attitude Shayari)

Advertisement

Mizaaj Mein Thodi Sakhti Lazimi Hai

Tough Attiude Mijaaz Mein Sakhti

मिज़ाज में थोड़ी सख्ती लाज़िमी है हुज़ूर,
लोग पी जाते समंदर अगर खारा न होता।
Mizaaj Mein Thodi Sakhti Lazimi Hai Huzoor,
Log Pee Jaate Samandar Agar Khara Na Hota.

चलो आज फिर थोड़ा सा मुस्कुराया जाये,
बिना माचिस के कुछ लोगो को जलाया जाये।
Chalo Aaj Phir Thoda Sa Muskuraya Jaye,
Bina Maachis Ke Logon Ko Jalaya Jaye.

Advertisement

लम्हों में सदियाँ तलाश करता हूँ

गुजरते लम्हों में सदियाँ तलाश करता हूँ,
प्यास इतनी है कि नदियाँ तलाश करता हूँ,
यहाँ पर लोग गिनाते है खूबियाँ अपनी,
मैं अपने-आप में कमियाँ तलाश करता हूँ।

Gujarte Lmahon Mein Sadiyan Talash Karta Hoon,
Pyas Itni Hai Ke Nadiyan Talash Karta Hoon,
Yahan Par Log Ginaate Hain Khoobiyan Apni,
Main Apne-Aap Mein Kamiyan Talash Karta Hoon.

Advertisement

जिद्द के बड़े पक्के हैं हम

अगर अंजाम की परवाह होती तो,
हम मोहब्बत करना छोड़ देते,
मोहब्बत में तो जिद्द होती है,
और जिद्द के बड़े पक्के हैं हम।

Agar Anjaam Ki Parwaah Hoti To,
Hum Mohabbat Karna Chhod Dete,
Mohabbat Mein To Zidd Hoti Hai,
Aur Zidd Ke Bade Pakke Hain Hum.

Zidd Ke Pakke Hain

Advertisement

परखने की गुस्ताखी न करना

मेरी हिम्मत को परखने की गुस्ताखी न करना,
मैं पहले भी कई तूफानों के रुख मोड़ चुका हूँ।
Meri Himmat Ko Parakhne Ki Gustakhi Na Karna,
Main Pehle Bhi Kayi Toofano Ke Rukh Mod Chuka Hu.

रहते हैं आस-पास ही लेकिन पास नहीं होते,
कुछ लोग मुझसे जलते हैं बस ख़ाक नहीं होते।
Rehte Hain Aas-Paas Hi Lekin Saath Nahi Hote,
Kuchh Log Mujhse Jalte Hain Bas Khaaq Nahi Hote.

Advertisement

Jeene Ka Hunar Rakhte Hain

मार ही डालें हमें बे-मौत ये दुनिया वाले,
हम जो जिन्दा हैं तो जीने का हुनर रखते है।
Maar Hi Daalein Humein Be-Maut Yeh Duniya Wale,
Hum Jo Zinda Hain To Jeene Ka Hunar Rakhte Hain.

Jeene Ka Hunar Rakhte Hain

फर्क बहुत है तुम्हारी और हमारी तालीम में,
तुमने उस्तादों से सीखा है और हमने हालातों से।
Farq Bahut Hai Tumhari Aur Humari Taleem Mein.
Tumne Ustaadon Se Seekha Hai Aur Humne Halaton Se.

14567Next ›