Mujhe MashHoor Kar Diya

Advertisement

एहसान ये रहा तोहमत लगाने वालों का मुझ पर,
उठती उँगलियों ने ही मुझे मशहूर कर दिया।
Ehsaan Ye Raha Tohmat Lagane Walon Ka Mujh Par,
UthhTi Ungliyon Ne Hi Mujhe MashHoor Kar Diya.

Mujhe Mashhoor Kar Diya Shayari

गुमां इतना नहीं अच्छा तू सुन ले पहले जाने के,
पलटने पर मुकर सकता हूँ तुझको जानने से भी।
Gumaan Itna Nahi Achha Tu Sunn Le Pehle Jaane Ke,
Paltne Par Mukar Sakta Hoon Tujhko JanNe Se Bhi.

Advertisement

मेरे लफ्जों से न कर मेरे किरदार का फ़ैसला,
तेरा वजूद मिट जायेगा मेरी हकीकत ढूंढ़ते ढूंढ़ते।
Mere Lafzon Se Na Kar Mere Kirdar Ka Faisla,
Tera Wajood Mit Jayega Meri Hakiqat Dhhoondte Dhhoondte.

समंदर बहा देने का जिगर तो रखते हैं लेकिन​,
​हमें आशिकी की नुमाइश की आदत नहीं है दोस्त​।
Samandar Baha Dene Ka Jigar To Rakhte Hain Lekin,
Humein Aashiqi Ki Numaish Ki Aadat Nahi Hai Dost.

​मेरे बारे में अपनी सोच को थोड़ा बदल के देख​,
​मुझसे भी बुरे हैं लोग तू घर से निकल के देख​।
Mere Baare Mein Apni Soch Ko Thhoda Badal Ke Dekh,
Mujhse Bhi Bure Hain Log Tu Ghar Se Nikal Ke Dekh.

Advertisement

Zidd Ko Anjaam Par Pahuncha Doon

Aukat Shayari, Aandhi Aukaat Main Rahe

Advertisement

Read more Attitude Shayari in Hindi