मुझे ढूंढ़ने की हद तक कोई ढूंढ़ता नहीं है।
Yeh Galat Kaha Tumne Ke Mera Pata Nahi Hai,
Mujhe Dhoodhne Ki Hadd Tak Koi Dhoondhta Nahi Hai.
इतने अमीर तो नहीं कि सब कुछ खरीद लें,
पर इतने गरीब भी नहीं कि खुद बिक जाएँ।
Itne Ameer To Nahin Ki Sab Kuchh Khareed Lein,
Par Itne Gareeb Bhi Nahin Ki Khud Bik Jaayein.
बैठा कर किनारे पे मेरा दीदार न कर,
मुझको समझना है तो समंदर में उतर के देख।
Baithh Kar Kinare Par Mera Deedar Na Kar,
Mujhko Samajhna Hai To Samandar Mein Utar Ke Dekh.
अभी जरा वक्त है उसको मुझे आजमाने दो,
वो खुद बुलायेगा मुझे बस मेरा वक्त आने दो।
Abhi Jara Waqt Hai Usko Mujhe Aajmaane Do,
Wo Khud Bulaayega Mujhe Bas Mera Waqt Aane Do.
आवारगी छोड़ दी हमने
तो लोग भूलने लगे हमें,
वर्ना शौहरत कदम चूमती थी
जब हम बदनाम हुआ करते थे।
Aawaargi Chhod Di Humne
To Log Bhoolne Lage Humein,
Varna Shohrat Kadam Choomti Thi
Jab Hum Badnam Hua Karte The.
तमन्ना उसके वजूद की होती
तो दुनिया से छीन लेता,
इश्क उसकी रूह से है
इसलिये खुदा से माँगता हूँ।
Tamanna Uske Wajood Ki Hoti
To Duniya Se Chheen Leta,
Ishq Uski Rooh Se Hai
Isliye Khuda Se Maangata Hoon.
हमें शायर समझ के यूँ नजर अंदाज मत करिये,
नजर हम फेर ले तो हुस्न का बाजार गिर जायेगा।
Humein Shayar Samajh Ke Yoon Najar Andaz Mat Kariye,
Najar Hum Fer Le To Husn Ka Baazar Gir Jayega.
हमारी हैसियत का अंदाज़ा तुम ये जान के लगा लो,
हम कभी उनके नहीं होते जो हर किसी के हो गए।
Humari Haisiyat Ka Andaza Tum Ye Jaan Ke Laga Lo,
Hum Kabhi Unke Nahi Hote Jo Har Kisi Ke Ho Gaye.
मेरे दुश्मन भी मेरे मुरीद हैं शायद,
वक़्त-बेवक्त मेरा नाम लिया करते हैं,
मेरी गली से गुजरते हैं छुपा के खंजर,
रुबरू होने पर सलाम किया करते हैं।
Mere Dushman Bhi Mere Mureed Hain Shayad,
Waqt-BeWaqt Mera Naam Liya Karte Hain,
Meri Gali Se Gujarte Hain Chhupa Ke Khanzar,
Ru-Ba-Ru Hone Par Salaam Kiya Karte Hain.
हालात के कदमों पर समंदर नहीं झुकते,
टूटे हुए तारे कभी ज़मीन पर नहीं गिरते,
बड़े शौक से गिरती हैं लहरें समंदर में,
पर समंदर कभी लहरों में नहीं गिरते।
Haalat Ke Kadamo Par Sikandar Nahi Jhukte,
Toote Huye Taare Kabhi Zamin Par Nahi Girte,
Bade Shauk Se Girti Hai Lahrein Samundar Mein,
Par Samundar Kabhi Lahron Mein Nahi Girte.
महबूब का घर हो या फरिश्तों की हो ज़मीं,
जो छोड़ दिया फिर उसे मुड़ कर नहीं देखा।
Mahboob Ka Ghar Ho Ya Farishton Ki Ho Zamin,
Jo Chhod Diya Fir Usey Mudkar Nahi Dekha.
एक इसी उसूल पर गुजारी है ज़िन्दगी मैंने,
जिसको अपना माना उसे कभी परखा नहीं।
Ek Isee Usool Par Gujaari Hai Zindagi Maine,
Jisko Apna Maana Usey Kabhi Parkha Nahin.
आग लगाना मेरी फितरत में नहीं है,
मेरी सादगी से लोग जलें तो मेरा क्या कसूर।
Aag Lagana Meri Fitrat Mein Nahi Hai,
Meri Saadgi Se Log Jale To Mera Kya Kasoor.