Sharab Shayari | हिंदी में शराब शायरी

Advertisement

Saaki Ki Mast Aankhein

असर न पूछिए साकी की मस्त आँखों का,
ये देखिये कि कोई होशमंद बाकी है?
Asar Na Poochhiye Saaki Ki Mast Aankho Ka,
Ye Dekhiye Ki Koyi Hoshmand Baaki Hai?

निगाहे-मस्त से मुझको पिलाये जा साकी,
हसीं निगाह भी जामे-शराब होती है।
Nigaah-e-Mast Se Mujhko Pilaye Ja Saaqi,
Haseen Nigaah Bhi Jaam-e-Sharab Hoti Hai.

Advertisement

Raat Hum Piye Huye The

रात हम पिये हुए थे मगर,
आप की आँखें भी शराबी थी,
फिर हमारे खराब होने में,
आप ही कहिए क्या खराबी थी।

Raat Hum Piye Huye The Magar,
Aap Ki Aankhein Bhi Sharabi Thi,
Fir Humare Kharab Hone Mein
Aap Hi Kahiye Kya Kharabi Thi.

Piye Huye Sharab Shayari

Advertisement

Sharab Shayari, May Chhalak Jaye To

मय छलक जाए तो कमजर्फ हैं पीने वाले,
जाम खाली हो तो साकी तेरी रूसवाई है।
May Chhalak Jaye To KamJarf Hain Peene Wale,
Jaam Khali Ho To Saqi Teri Ruswayi Hai.

नशा तब दोगुना होता है जनाब,
जब जाम भी छलके और आँख भी छलके।
Nasha Tab Doguna Hota Hai Janaab,
Jab Jaam Bhi Chhalake Aur Aankh Bhi Chhalake.

Advertisement

Sharab Kaise Pilayi Jati Hai

तुम क्या जानो शराब कैसे पिलाई जाती है,
खोलने से पहले बोतल हिलाई जाती है,
फिर आवाज़ लगायी जाती है आ जाओ टूटे दिल वालों,
यहाँ दर्द-ए-दिल की दवा पिलाई जाती है।

Tum Kya Jano Sharab Kaise Pilayi Jati Hai,
Kholne Se Pehle Botal Hilayi Jati Hai,
Fir Aawaj Lagayi Jaati Hai Aa Jao Toote Dil Walo,
Yahan Dard-e-Dil Ki Dawa Pilayi Jati Hai.

Advertisement

Chheen Kar Haatho Se Jaam

छीनकर हाथों से जाम वो इस अंदाज़ से बोली,
कमी क्या है इन होठों में जो तुम शराब पीते हो।
Chheen Kar Haatho Se Jaam Wo Is Andaaz Se Boli,
Kami Kya Hai Inn Hothho Mein Jo Tum Sharaab Peete Ho.

तौहीन न करना कभी कह कर कड़वा शराब को,
किसी ग़मजदा से पूछो इसमें कितनी मिठास है।
Tauheen Na Karna Kabhi Kah Kar Kadwa Sharab Ko,
Kisi GhamZada Se Poochho Ismein Kitni Mithhaas Hai.