Barbaadi Sad Shayari in Hindi
ये दुनिया तुम्हें एक पल में बरबाद कर देगी,
मोहब्बत हो भी जाए तो उसे मशहूर मत करना।
Yeh Duniya Tumhein Ek Pal Mein Barbaad Kar Degi,
Mohabbat Ho Bhi Jaye To Use MashHoor Mat Karna.
आसान नहीं आबाद करना घर मोहब्बत का,
ये उनका काम है जो ज़िन्दगी बर्बाद करते हैं।
Aasaan Nahi Aabaad Karna Ghar Mohabbat Ka,
Ye Unka Kaam Hai Jo Zindagi Barbaad Karte Hain.
तू मेरी बरबादियों के जश्न में शामिल रहा,
ये तसव्वुर ही बहुत आराम देता है मुझे।
Tu Meri Barbadiyon Ke Jashn Mein Shaamil Raha,
Ye Tasawwur Hi Bahut Aaraam Deta Hai Mujhe.
फ़रिश्ते ही होंगे जिनका हुआ इश्क़ मुकम्मल,
इंसानों को तो हमने सिर्फ बर्बाद होते देखा है।
Farishte Hi Honge JinKa Hua Ishq Muqammal,
Insano Ko To HumNe Sirf Barbaad Hote Dekha Hai.
वाह रे इश्क़ तेरी मासूमियत का जवाब नहीं,
हँसा कर करता है बर्बाद तू मासूम लोगों को।
Waah Re Ishq Teri Masumiyat Ka Jawab Nahi,
Hansa Kar Karta Hai Barbaad Tu Masoom Logon Ko.
कुछ लोग पसंद करने लगे हैं अल्फाज मेरे,
मतलब मोहब्बत में बरबाद और भी हुए हैं।
Kuchh Log Pasand Karne Lage Hain Alfaaz Mere,
Matlab Mohabbat Mein Barbaad Aur Bhi Huye Hain.
बरबाद होकर यार के दिल में मिली जगह,
आबाद कर गई मेरी बरबादियाँ मुझे।
Barbaad Ho Ke Yaar Ke Dil Mein Mili Jagah,
Aabaad Kar Gayi Meri Barbaadian Mujhe.
लुटा के हर चीज मंजिल-ए-इश्क़ की राह में,
मैं हँस पड़ा हूँ आज खुद को बरबाद देख के।
Luta Ke Har Cheej Manzil-e-Ishq Ki Raah Mein,
Main Hans Pada Hoon Aaj Khud Ko Barbaad Dekh Ke.
तेरी हालत से लगता है तेरा अपना था कोई,
इतनी सादगी से बरबाद कोई गैर नहीं करता।
Teri Halat Se Lagta Hai Tera Apna Tha Koyi,
Itni Saadgi Se Barbaad Koyi Ghair Nahi Karta.
होता है जिस जगह मेरी बर्बादियों का जिक्र,
तेरा भी नाम लेती है दुनिया कभी-कभी।
Hota Hai Jis Jagah Meri Barbaadiyon Ka Zikr,
Tera Bhi Naam Leti Hai Duniya Kabhi-Kabhi.
वैसे तो तुम्हीं ने मुझे बर्बाद किया है
इल्ज़ाम किसी और के सर जाए तो अच्छा।
Waise To Tumhein Ne Mujhe Barbaad Kiya Hai,
ilzaam Kisi Aur Ke Sar Aaye To Achchha.
किसे इल्जाम दूँ मैं अपनी बरबाद जिंदगी का,
वाकई में मोहब्बत जिंदगी बदल देती है।
Kise ilzam Doon Main Apni Barbaad Zindagi Ka,
Wakai Mein Mohabbat Zindagi Badal Deti Hai.