Sharab Shayari

Advertisement

Sharab Shayari, Taras Kha Ke Pee Gaya

लहरों पे खेजता हुआ लहरा के पी गया,
साक़ी की हर निगाह पे बल खा के पी गया।
मैंने तो छोड़ दी थी पर रोने लगी शराब,
मैं उसके आँसुओं पे तरस खा के पी गया।

Laheron Pe Khejta Hua Lahera Ke Pee Gaya,
Saqi Ki Har Nigaah Pe Bal Kha Ke Pee Gaya,
Maine To Chhod Di Thi Par Rone Lagi Sharab,
Main Uske Aansuon Pe Taras Kha Ke Pee Gaya.

Advertisement

Pila Kar Jaam Labon Se

वो पिला कर जाम लबों से अपनी मोहब्बत का,
अब कहते हैं नशे की आदत अच्छी नहीं होती।
Wo Pila Kar Jaam Labon Se Apni Mohabbat Ka,
Ab Kehte Hain Nashe Ki Aadat Achhi Nahi Hoti.

क़िबला-ओ-काबा ये तो पीने पिलाने के हैं दिन,
आप क्या हलक के दरबान बने बैठे हैं।
Qibla-o-Kaba Ye To Peene-Pilane Ke Hain Din,
Aap Kya Halak Ke Darbaan Bane Baithhe Hain.

अलग बैठे थे कि आँख साकी की पड़ी मुझ पर,
अगर है तिश्नगी कामिल तो पैमाने भी आयेंगे।
Alag Baithe The Ki Aankh Saqi Ki Padi Mujh Par,
Agar Tishngi Kamil To Paimane Bhi Aayenge.

Advertisement

Peene Se Kar Chuka Tha Tauba

पीने से कर चुका था मैं तौबा दोस्तों,
बादलों का रंग देख नीयत बदल गई।
Peene Se Kar Chuka Tha Main Tauba Dosto,
Baadalo Ka Rang Dekh Neeyat Badal Gayi.

Sharab Shayari Peene Se Kar Chuka Tauba

मुखातिब हैं साकी की मख्मूर नजरें,
मेरे जर्फ का इम्तिहाँ हो रहा है।
Mukhatib Hain Saqi Ki Mkhmoor Najrein,
Mere Jarf Ka Imtihaan Ho Raha Hai.

मैकदे लाख बंद करें जमाने वाले,
शहर में कम नहीं आँखों से पिलाने वाले।
Maykade Laakh Band Karein Zamane Wale,
Shahar Mein Kam Nahi Aankho Se Pilane Wale.

Advertisement

Saqi Sharab Shayari, Ye Zikr Sharab Ka Hai

ताजगी मिज़ाज में और रंगत
जैसे पिघला हुआ सोना,
तारीफ तेरी नहीं साकी,
यह ज़िक्र शराब का है।
Taazgi Mizaaj Mein Aur Rangat
Jaise Pighla Hua Sona,
Tareef Teri Nahi Saaqi,
Ye Zikr Sharab Ka Hai.

Advertisement

Hosh-o-Hawaas Mein Baheko

होशो-हवास में बहको तो कोई बात बने,
यूँ नशे में लुढ़कना तो यार पुराना हुआ।
Hosh-o-Hawaas Mein Baheko To Koyi Baat Bane,
Yoon Nashe Mein Ludakna To Yaar Purana Hua.

साकी तेरे निगाह की क्या सियाहकारियाँ हैं,
मैख्वार होश में हैं ज़ाहिद बहक रहा है।
Saqi Tere Nigaah Ki Kya Syahkarian Hain,
Maykhwar Hosh Mein Hai Zahid Behak Raha Hai.