Maykhane Ki Izzat Ka Sawal

Advertisement

मयखाने की इज्ज़त का सवाल था हुज़ूर,
सामने से गुजरे तो, थोड़ा सा लड़खड़ा दिए।
Maykhane Ki Izzat Ka Sawal Tha Huzoor,
Samne Se Gujre To Thoda Sa Ladkhada Diye.

Maykhane Ki Izzat Sharab Shayari

देखा किये वह मस्त निगाहों से बार-बार,
जब तक शराब आई कई दौर चल गये।
Dekha Kiye Wo Mast Nigaahon Se Baar Baar,
Jab Tak Sharab Aayi Kayi Daur Chal Gaye.

Advertisement

थोड़ी सी पी शराब थोड़ी सी उछाल दी,
कुछ इस तरह से हमने जवानी निकाल दी।
Thodi Si Pee Sharaab Thodi See Uchhal Di,
Kuchh Iss Tarah Se Humne Jawaani Nikaal Di.

तुम आज साक़ी बने हो तो शहर प्यासा है,
हमारे दौर में खाली कोई गिलास न था।
Tum Aaj Saqi Bane Ho To Shahar Pyasa Hai,
Humare Daur Mein Khaali Koi Gilaas Na Tha.

दिखा के मदभरी आँखें कहा ये साकी ने,
हराम कहते हैं जिसको यह वो शराब नहीं।
Dikha Ke Madbhari Aakhien Kaha Ye Saqi Ne,
Haraam Kehte Hain Jisko Ye Wo Sharab Nahi.

नशा पिला के गिराना तो सब को आता है,
मज़ा तो तब है कि गिरतों को थाम ले साक़ी।
Nasha Pila Ke Giraana To Sabko Aata Hai,
Mazaa To Tab Hai Ki Girton Ko Thaam Le Saaqi.

Advertisement

Sharab Shayari, Taras Kha Ke Pee Gaya

Chheen Kar Haatho Se Jaam

Advertisement

Read more Sharab Shayari in Hindi