Sharab Shayari | हिंदी में शराब शायरी

Advertisement

Hosh-o-Hawaas Mein Baheko

होशो-हवास में बहको तो कोई बात बने,
यूँ नशे में लुढ़कना तो यार पुराना हुआ।
Hosh-o-Hawaas Mein Baheko To Koyi Baat Bane,
Yoon Nashe Mein Ludakna To Yaar Purana Hua.

साकी तेरे निगाह की क्या सियाहकारियाँ हैं,
मैख्वार होश में हैं ज़ाहिद बहक रहा है।
Saqi Tere Nigaah Ki Kya Syahkarian Hain,
Maykhwar Hosh Mein Hai Zahid Behak Raha Hai.

Advertisement

Pee Leta Agar Wo Sharab Hoti

मैं तोड़ लेता अगर वो गुलाब होती,
मैं जवाब बनता अगर वो सवाल होती,
सब जानते हैं मैं नशा नहीं करता,
फिर भी पी लेता अगर वो शराब होती।

Main Tod Leta Agar Wo Gulab Hoti,
Main Jawab Banta Agar Wo Sawal Hoti,
Sab Jante Hain Main Nasha Nahi Karta,
Fir Bhi Pee Leta Agar Wo Sharab Hoti.

Advertisement

Tabaahi Ka iljaam Ab Sharab Par

मेरी तबाही का इल्जाम अब शराब पर है,
करता भी क्या और तुम पर जो आ रही थी बात।
Meri Tabaahi Ka iljaam Ab Sharab Par Hai,
Karta Bhi Kya Aur Tum Par Jo Aa Rahi Thi Baat.

तुम्हारी बेरूखी ने लाज रख ली बादाखाने की,
तुम आँखों से पिला देते तो पैमाने कहाँ जाते।
Tumhari Berukhi Ne Laaj Rakhli BadaKhane Ki,
Tum Aankho Se Pila Dete To Paimane Kahan Jate.

Advertisement

DagMagana Bhi Jaroori Hai

थोड़ी सी पी लिया करते हैं जीने की तमन्ना में,
डगमगाना भी जरूरी है संभलने के लिए।

Thhodi Si Pee Liya Karte Hain Jeene Ki Tamanna Mein,
DagMagana Bhi Jaroori Hai Sambhalne Ke Liye.

Sharab Shayari - DagMagana Jaroori Hai

Advertisement

Shayari Aao Kahin Sharab Piyein

कहने को कुछ भी न बचा हर बात हो गई,
आओ कहीं शराब पिएँ कि रात हो गई।

Kahne Ko Kuchh Bhi Na Bacha Har Baat Ho Gayi,
Aao Kahin Sharab Piyein Ke Raat Ho Gayi.

1 2 3 4 Next ›