Heart Touching Shayari

दिल को छूने वाली शायरी : Read deep and meaningful shayari that touches the depths of your heart. Best heart touching shayari collection in hindi and english.

Advertisement

Mere Khwab Jhoothhe Hain

बताओ है कि नहीं मेरे ख्वाब झूठे,
कि जब भी देखा तुझे अपने साथ देखा।
Bataao Hain Ki Nahi Mere Khwaab Jhoothhe,
Ki Jab Bhi Dekha Tujhe Apne Saath Dekha.

Touching Shayari Mere Jhoothhe Khwaab

ना वो मिलती है, ना मैं रुकता हूँ,
पता नहीं रास्ता गलत है या मंजिल।
Na Wo Milti Hai, Na Main Rukta Hoon,
Pata Nahi Raasta Galat Hai Ya Manzil.

Advertisement

Heart Touching Lines, Geeli Lakdi Sa Ishq

गीली लकड़ी सा इश्क़ तुमने सुलगाया है,
न पूरा जल पाया कभी न ही बुझ पाया है।
Geeli Lakdi Sa Ishq Tumne Sulgaya Hai,
Na Poora Jal Paya Kabhi Na Hi Bujh Paya Hai.

हर बात पे रंजिशें हर बात पे हिसाब,
शायद मैंने इश्क नहीं, नौकरी कर ली।
Har Baat Pe Ranjishein, Har Baat Pe Hisab,
Shayad Maine Ishq Nahi, Naukari Kar Li.

Advertisement

Badlenge Nahi Jazbat Mere

बदलेंगे नहीं जज़्बात मेरे तारीखों की तरह,
बेपनाह इश्क़ करने की ख्वाहिश रहेगी उम्र भर।
Badlenge Nahi Jazbat Mere Tareekhon Ki Tarah,
BePanah Ishq Karne Ki Khwahish Rahegi Umr Bhar.

Badlenge Nahi Jazbat Shayari

जब मिलो किसी से तो जरा दूर का रिश्ता रखना,
बहुत तड़पाते हैं अक्सर सीने से लगाने वाले।
Jab Milo Kisi Se To Jara Door Ka Rishta Rakhna,
Bahut Tadpaate Hai Aksar Seene Se Lagaane Wale.

Advertisement

Shayari Heart Touching, Pyar Ki Kahani Adhoori

वक़्त मिले तो प्यार की किताब पढ़ लेना,
हर प्यार करने वाले की कहानी अधूरी होती है।
Waqt Mile To Pyar Ki Kitaab Parh Lena,
Har Pyar Karne Wale Ki Kahani Adhoori Hoti Hai.

Dil Ko Chhoone Wali Shayari Pyar Ki Adhoori Kahani

हमारे दिल से आज धुआँ निकल रहा है,
लगता है उसने मेरे ख्वाबों को जला डाला है।
Humare Dil Se Aaj Dhuaan Nikal Raha Hai,
Lagta Hai Usne Mere Khwaabo Ko Jala Dala Hai.

Advertisement

Main Jazbat Tha Bikhar Gaya

वो तो मुस्कान थी कहीं खो गयी,
और मैं जज्बात था कहीं बिखर गया।
Wo To Muskan Thi Kahin Kho Gayi,
Aur Main Jazbat Tha Kahin Bikhar Gaya.

किताबें भी बिल्कुल मेरी तरह हैं,
अल्फ़ाज़ से भरपूर मगर खामोश।
Kitaabein Bhi Bilkul Meri Tarah Hain,
Alfaaz Se Bharpoor Magar Khaamosh.