Jise Bhi Dekha Rote Huye Paya
जिसे भी देखा रोते हुए पाया मैंने,
मुझे तो ये मोहब्बत, किसी फ़कीर की बद्दुआ लगती है।
Jise Bhi Dekha Rote Huye Paya Maine,
Mujhe To Ye Mohabbat, Kisi Faqir Ki Bad-dua Lagti Hai.
जो दिल के आईने में हो वो ही प्यार के काबिल है,
वरना दीवार के काबिल तो हर तस्वीर होती है।
Jo Dil Ke Aaine Mein Ho Wo Hi Pyar Ke Kaabil Hai,
Warna Deewar Ke Kabil To Har Tasvir Hoti Hai.
ठुकराया हमने भी बहुतों को है तेरी खातिर,
तुझसे फासला भी शायद उनकी बद्दुआओं का असर है।
Thhukraya Humne Bhi Bahuto Ko Teri Khatir,
Tujhse Faasla Bhi Shayad Unki BadDuaaon Ka Asar Hai.
लोग तो सो लेते हैं जमाने की चहल पहल में भी,
मुझे तो तेरी ख़ामोशी सोने नहीं देती।
Log To So Lete Hain Zamane Ki Chahal-Pahal Mein Bhi,
Mujhe To Teri Khamoshi Sone Nahi Deti.
हकीकत में खामोशी कभी भी चुप नहीं रहती,
कभी तुम ग़ौर से सुनना बहुत किस्से सुनाती है।
Haqikat Mein Khamoshi Kabhi Bhi Chup Nahi Rehti Hai,
Kabhi Tum Gaur Se Sunna Bahut Kisse Sunaati Hai.