जिसको भी देखा रोते हुए पाया मैंने,
मुझे तो ये मोहब्बत किसी फ़कीर की बददुया लगती है।
Jisko Bhi Dekha Rote Huye Paya Maine,
Mujhe To Ye Mohabbat Kisi Faqir Ki Bad-Dua Lagti Hai.
ये और बात है कि दिखाई न दे
मगर शामिल जरूर होता है,
खुदकुशी करने वाले का भी
कोई कातिल जरूर होता है।
Ye Aur Baat Hai Ki Dikhayi Na De
Magar Shaamil Jaroor Hota Hai,
KhudKushi Karne Wale Ka Bhi
Koi Qatil Jaroor Hota Hai.
तुमने कहा था हर शाम हाल पूछा करेंगे,
बदल गए हो या तुम्हारे यहाँ शाम नहीं होती।
Tumne Kaha Tha Har Shaam Haal Poochha Karenge,
Badal Gaye Ho Ya Tumhare Yahan Shaam Nahi Hoti.
खुदा का शुक्र है कि उसने ख्वाब बना दिये,
वरना तुम्हें देखने की तो हसरत रह ही जाती।
Khuda Ka Shukr Hai Ki Usne Khwab Bana Diye,
Varna Tumhein Dekhne Ki To Hasrat Reh Hi Jati.
कोई बताएगा कैसे दफनाते हैं उनको,
वो ख्वाब जो दिल में ही मर जाते हैं।
Koi Batayega Kaise Dafnate Hain Unko,
Wo Khwaab Jo Dil Mein Hi Mar Jate Hain.
झूठ कहूँ तो लफ़्ज़ों का दम घुटता है,
सच कहूँ तो लोग खफा हो जाते हैं।
Jhoonth Kahoon To Lafzon Ka Dam GhutTa Hai,
Sach Kahoon To Log Khafa Ho Jaate Hain.