वो लोग ही बिछड़ गए जो ज़िन्दगी हुआ करते थे।
Aur Kya Likhoon Apni Zindagi Ke Baare Mein,
Wo Log Hi Bichhad Gaye Jo Zindagi Hua Karte The.
रोने से संवर जाते अगर हालात किसी के,
तो मुझसे ज्यादा खुशनसीब कोई और नहीं होता।
Rone Se Sanwar Jaate Agar Haalat Kisi Ke,
To Mujhse Jyada KhushNasib Koi Aur Nahi Hota.
हाथ पर हाथ रखा उसने तो मालूम हुआ,
अनकही बात को किस तरह सुना जाता है।
Haath Par Haath Rakha Usne To Maloom Hua,
Ankahi Baat Ko Kis Tarah Suna Jata Hai.
अजीब सी बस्ती में ठिकाना है मेरा,
जहाँ लोग मिलते कम झाँकते ज़्यादा है।
Ajeeb Si Basti Mein Thhikana Hai Mera,
Jahan Log Milte Kam Aur Jhaankte Jyada Hain.
आज़ाद कर देंगे तुझे अपनी मोहब्बत की क़ैद से,
करे जो हमसे बेहतर कदर पहले वो शख्स तो ढूंढ़।
Aazad Kar Denge Tujhe Apni Mohabbat Ki Qaid Se,
Kare Jo Humse Behtar Kadar Pehle Wo Shakhsh To Dhoond.
जिसे भी देखा रोते हुए पाया मैंने,
मुझे तो ये मोहब्बत, किसी फ़कीर की बद्दुआ लगती है।
Jise Bhi Dekha Rote Huye Paya Maine,
Mujhe To Ye Mohabbat, Kisi Faqir Ki Bad-dua Lagti Hai.
जो दिल के आईने में हो वो ही प्यार के काबिल है,
वरना दीवार के काबिल तो हर तस्वीर होती है।
Jo Dil Ke Aaine Mein Ho Wo Hi Pyar Ke Kaabil Hai,
Warna Deewar Ke Kabil To Har Tasvir Hoti Hai.
इतने कहाँ मशरूफ हो गए हो तुम,
आजकल दिल दुखाने भी नहीं आते।
Itne Kahan Mashroof Ho Gaye Ho Tum,
AajKal Dil Dukhane Bhi Nahi Aate.
मोहब्बत अब समझदार हो गयी है,
हैसियत देख कर ही आगे बढ़ती है।
Mohabbat Ab Samjhdaar Ho Gayi Hai,
Haisiyat Dekh Kar Hi Aage Badti Hai.