दिल से मेरे अभी तक उतरा ही नहीं।
Wo Insaan Tha... Ya Ehsaan Tha Koi,
Dil Se Mere Abhi Tak Utra Hi Nahi.
है न मुझे गलत फहमियां...
कि जब भी उसे समझा, अपना ही समझा।
Hai Na Mujhe Ghalat Fehmiyan...
Ke Jab Bhi Usey Samjha, Apna Hi Samjha.
मेरे हक में खुशिओं की दुआ करते हो,
तुम खुद मेरे क्यों नहीं हो जाते।
Mere Haq Mein Khushion Ki Duaa Karte Ho,
Tum Khud Mere Kyon Nahin Ho Jaate.
ख्वाहिशें मेरी अधूरी ही सही पर,
कोशिशें मैं पूरी करता हूँ।
Khwaahishein Meri Adhoori Hi Sahi Par,
Koshishein Main Poori Karta Hoon.
कीमतें गिर गईं मोहब्बत की,
चलो कोई दूसरा कारोबार करते हैं।
Keematein Gir Gayin Mohabbat Ki,
Chalo Koi Doosra Karobaar Karte Hain.
इतने भी कीमती न थे तुम,
जितनी तुम्हारी कीमत चुकाई मैंने।
Itne Bhi Keemati Na The Tum,
Jitni Tumhari Keemat Chukaayi Maine.
जिनका मिलना मुकद्दर में लिखा नहीं होता,
उनसे मोहब्बत कसम से बा-कमाल होती है।
Jinka Milna Mukaddar Mein Likha Nahi Hota,
Unse Mohabbat Kasam Se Ba-Kamaal Hoti Hai.
दिल से पूछो तो आज भी तुम मेरे ही हो,
ये ओर बात है कि किस्मत दगा कर गयी।
Dil Se Poochho To Aaj Bhi Tum Mere Hi Ho,
Ye Aur Baat Hai Ki Kismat Dagaa Kar Gayi.
वो जो बिछड़ा तो मैं ने जाना,
लोग मर कर भी जिया करते हैं।
Woh Jo Bichhda To Main Ne Jana,
Log Mar Kar Bi Jiya Karte Hain.
लोगों को आह लगती है,
तुझे तो मेरा सब्र लगेगा।
Logon Ko Aah Lagti Hai,
Tujhe To Mera Sabr Lagega.
हम न कहते थे वक्त जालिम है,
देखलो! ख्वाब हो गए तुम भी।
Hum Na Kehte The Wakt Zalim Hai,
Dekh Lo! Khwaab Ho Gaye Tum Bhi.
हम उनकी हर ख्वाहिश
पूरी करने का वादा कर बैठे,
हमें क्या पता था
हमें छोड़ना ही एक ख्वाहिश थी।
Hum Unki Har Khwahish
Poori Karne Ka Vaada Kar Baithhe,
Humein Kya Pata Tha
Humein Chhodna Hi Unki Khwahish Hogi.
बहुत खास थे कभी
नजरों में किसी के हम भी,
मगर नजरों के तकाज़े
बदलने में देर कहाँ लगती है।
Bahut Khaas The Kabhi
Najron Mein Kisi Ke Hum Bhi,
Magar Najaron Ke Takaaze
Badalne Me Der Kahan Lagti Hai.