लोग वैसे भी नहीं होते जैसे नजर आते है।
Yoon Galat Nahi Hoti Chehron Ki Taseer Lekin,
Log Waise Bhi Nahi Hote Jaise Najar Aate Hain.
कोई ग़म से परेशान है कोई जन्नत का तालिब है,
गरज सजदे कराती है इबादत कौन करता है।
Koi Gham Se Pareshan Hai Koi Jannat Ka Taalib Hai,
Garaz Sajde Karaati Hai Ibaadat Kaun Karta Hai.
वक़्त रहता नहीं कहीं टिक कर,
आदत इस की भी आदमी सी है।
Waqt Rehta Nahi Kahin Tik Kar,
Aadat Iss Ki Bhi Aadmi Si Hai.
जेब में जरा सा सूराख क्या हुआ,
सिक्कों से ज्यादा रिश्ते गिर पड़े।
Jeb Me Jara Sa Soorakh Kya Hua,
Sikkon Se Jyada Rishtey Gir Pade.
ये कहाँ मुमकिन है कि हर लफ़्ज़ बयाँ हो,
कुछ परदे हो दरमियाँ ये भी तो लाज़मी है।
Ye Kahan Mumkin Hai Ke Har Lafz Bayaan Ho,
Kuchh Parde Hon Darmiyaan Ye Bhi To Lazimi Hai.
इरादे बाँधता हूँ, सोचता हूँ, तोड़ देता हूँ,
कहीं ऐसा न हो जाये, कहीं वैसा न हो जाये।
Iraade Baandhta Hoon, Sochta Hoon, Tod Deta Hoon,
Kahin Aisa Na Ho Jaye, Kahin Waisa Na Ho Jaye.
तुम्हारा सिर्फ इन हवाओं पे शक़ गया होगा,
चिराग खुद भी तो जल-जल के थक गया होगा।
Tumhara Sirf In Hawaaon Pe Shaq Gaya Hoga,
Chiraag Khud Bhi To Jal-Jal Ke Thak Gaya Hoga.
हवा से कह दो खुद को आज़मा के दिखाये,
बहुत चिराग बुझाती है एक जला के दिखाये।
Hawa Se Keh Do Khud Ko Aazma Ke Dikhaye,
Bahut Chiraag Bujhati Hai Ek Jala Ke Dikhaye.
आइना देख कर कुछ खुद को तसल्ली हुई,
खुदगर्जी के ज़माने में कोई तो जानता है हमें।
Aayina Dekh Kar Kuchh Khud Ko Tasalli Hui,
KhudGarzi Ke Zamane Mein Koi To Janta Hai Humein.
कुछ लोग मेरे शहर में खुशबू की तरह हैं,
महसूस तो होते हैं पर दिखाई नहीं देते।
Kuchh Log Mere Shahar Mein Khushboo Ki Tarah Hain,
Mahsoos To Hote Hain Par Dikhayi Nahi Dete.