Two Line Shayari | हिंदी में दो लाइन की शायरी

Advertisement

Huyi Hai Kadr Har Ek Saans Ki

मिले जो मुफ्त में उस चीज की कीमत नहीं होती,
हुई है कद्र हर इक साँस की जब वक़्त आया है।
Mile Jo Muft Mein Uss Cheej Ki Keemat Nahi Hoti,
Huyi Hai Kadr Har Ek Saans Ki Jab Waqt Aaya Hai.

Kadr Har Ek Saans Ki Two Line Shayari

वो पहले सा कहीं मुझको कोई मंज़र नहीं लगता,
यहाँ लोगों को देखो अब ख़ुदा का डर नहीं लगता।
Wo Pehle Sa Kahin Mujhko Koi Manzar Nahi Lagta,
Yahan Logon Ko Dekho Ab Khuda Ka Darr Nahi Lagta.

Advertisement

Kaante Kisi Ke Haq Mein

काँटे किसी के हक में किसी को गुलो-समर,
क्या खूब एहतमाम-ए-गुलिस्ताँ है आजकल।
Kaante Kisi Ke Haq Mein Kisi Ko Gulo-Samar,
Kya Khoob Ehtmaam-e-Gulistaan Hai AajKal.

आईना फैला रहा है खुद-फरेबी का ये मर्ज,
हर किसी से कह रहा है आप सा कोई नहीं।
Aayina Faila Raha Hai Khud-Farebi Ka Ye Marz,
Har Kisi Se Keh Raha Hai Aap Sa Koi Nai.

Advertisement

Kagaz Bhi Akhbaar Ban Jata Hai

भूल कर भी अपने दिल की बात किसी से मत कहना,
यहाँ कागज भी जरा सी देर में अखबार बन जाता है।
Bhool Kar Bhi Apne Dil Ki Baat Kisi Se Mat Kahna,
Yahan Kagaz Bhi Jara Si Der Mein Akhbaar Ban Jata Hai.

Advertisement

Two Line Duniya Shayari in Hindi

Duniya Shayari in Hindi

सीख रहा हूँ धीरे-धीरे इस दुनिया के रिवाज,
जिससे मतलब निकल गया उसे दिल से निकाल दो।
Seekh Raha Hoon Dheere-Dheere Is Duniya Ke Rivaaj,
JisSe Matlab Nikal Gaya Use Dil Se Nikaal Do.

शाख से तोड़े गए फूल ने हँस कर ये कहा,
अच्छा होना भी बुरी बात है इस दुनिया में।
Shakh Se Tode Gaye Phool Ne Hans Kar Ye Kaha,
Achchha Hona Bhi Buri Baat Hai Iss Duniya Mein.

Advertisement

Jahan Qatil Hi Khud Poochhe

ऐसे माहौल में दवा क्या है दुआ क्या है,
जहाँ कातिल ही खुद पूछे कि हुआ क्या है?
Aise Mahaaul Mein Davaa Kya Hai Duaa Kya Hai,
Jahan Qatil Hi Khud Poochhe Ke Hua Kya Hai?

जिसकी कफस में आँख खुली हो मेरी तरह,
उसके लिये चमन की खिजाँ क्या बहार क्या।
Jiski Kafas Mein Aankh Khuli Ho Meri Tarah,
Uske Liye Chaman Ki Khizaan Kya Bahaar Kya.