दो लाइन की शायरी (Two Line Shayari)

Advertisement

Hashar Mein Jhagda Ho Jayega

होगा गजब जो हशर में झगड़ा हो जायेगा,
मानो कहा कि बात अभी घर की घर में हैं।
Hoga Gajab Jo Hashar Mein Jhagda Ho Jayega,
Maano Kaha Ki Baat Abhi Ghar Ki Ghar Mein Hai.

किसी ने तो दे रखा होगा उनको भी मक़ाम,
वर्ना ये बेघर लोग यूँ मुस्कुराते न फिरते।
Kisi Ne To De Rakha Hoga Unko Bhi Maqaam,
Varna Ye BeGhar Log Yoon Muskurate Na Firte.

Advertisement

Meri Kismat Sanwaar De

Koi Kismat Sanwaar De

शायद कोई तराश कर मेरी किस्मत संवार दे,
यह सोच कर हम उम्र भर पत्थर बने रहे।

Shayad Koi Taraash Kar Meri Kismat Sanwaar De,
Ye Soch Kar Hum Umr Bhar Patthar Bane Rahe.

Advertisement

कश्ती इत्तिफाकन बच गई अपनी

खुदा या नाखुदा अब जिसको चाहो बख्श दो इज्जत,
हकीकत में तो कश्ती इत्तिफाकन बच गई अपनी।
Khuda Ya Nakhuda Ab Jisko Chaaho Bakhsh Do Izzat,
Hakiqat Mein To Kashti ittefakan Bach Gayi Apni.

कागज़ों पे लिख कर ज़ाया कर दूँ मैं वो शख़्स नहीं,
वो शायर हूँ जिसे दिलों पे लिखने का हुनर आता है।
Kagazon Pe Likh Kar Zaya Kar Doon Main Wo Shakhs Nahi,
Wo Shayar Hoon Jise Dilon Pe Likhne Ka Hunar Aata Hai.

Advertisement

नसीब सरकता जरुर है

दीदार की तलब हो तो नजरें जमाये रख,
क्यूँकि नक़ाब हो या नसीब सरकता जरुर है।
Deedar Ki Talab Hai To Najrein Jamaaye Rakh,
Kyuki Naqaab Ho Ya Naseeb Sarakta Jaroor Hai.

Naseeb Sarakta Jaroor Hai

जब तक था दम में दम न दबे आसमाँ से हम,
जब दम निकल गया तो ज़मीं ने दबा लिया।
Jab Tak Tha Dum Mein Dum Na Dabe Aasmaan Se Hum,
Jab Dum Nikal Gaya To Zamin Ne Dabaa Liya.

Advertisement

Zikr Meri Khudkushi Ka Hai

पूछा न ज़िन्दगी में किसी ने भी दिल का हाल,
अब शहर भर में ज़िक्र मेरी खुदकुशी का है।
Poochha Na Zindagi Mein Kisi Ne Bhi Dil Ka Haal,
Ab Shahar Bhar Mein Zikr Meri Khudkushi Ka Hai.

आप की खातिर अगर हम लूट भी लें आसमाँ,
क्या मिलेगा चंद चमकीले से शीशे तोड़ के।
Aap Ki Khatir Agar Hum Loot Bhi Lein Aasmaan,
Kya Milega Chand Chamkeele Se Sheeshe Tod Ke.