Wo Baazi Jeet Jata Hai Shayari

Advertisement

समझ पाता हूँ देर से मैं दांव-पेंच उसके,
वो बाजी जीत जाता है मेरे चालाक होने तक।
Samajh Pata Hoon Der Se Main Daaon-Pench Uske,
Wo Baazi Jeet Jata Hai Mere Chaalaak Hone Tak.

Woh Baazi Jeet Jata Hai Two Line Shayari

तुम राह में चुप-चाप खड़े हो तो गए हो,
किस-किस को बताओगे घर क्यों नहीं जाते।
Tum Raah Mein Chup-Chap Khade Ho To Gaye Ho,
Kis-Kis Ko Bataoge Ghar Kyun Nahi Jaate.

Advertisement

दुनिया वालों ने तो फकत उसको हवा दी थी,
​लोग तो अपने ही थे आग लगाने वाले।
Duniya Walo Ne To Faqat Usko Hawa Di Thi,
Log To Apne Hi The Aag Lagane Wale.

क्या कहिये किस तरह से जवानी गुजर गई,
बदनाम करने आई थी बदनाम कर गई।
Kya Kahiye Kis Tarah Se Jawani Gujar Gayi,
BadNaam Karne Aayi Thi BadNaam Kar Gayi.

मुझको दिखा रहा था जो मंजिलों के ख्वाब,
फिर मेरे सामने से वो रस्ता चला गया।
Mujhko Dikha Raha Tha Jo Manzilon Ka Khwaab,
Fir Mere Saamne Se Woh Rasta Chala Gaya.

Advertisement

Raaste Kahan Khatm Hote Hain

Bahut Se Log The Mehmaan

Advertisement

Read more Two Line Shayari in Hindi