Shayari Two Line, Naqaab Ho Ya Naseeb
दीदार की तलब हो तो नजरें जमाये रख,
क्यूँकि नक़ाब हो या नसीब सरकता जरुर है।
Deedar Ki Talab Hai To Najrein Jamaaye Rakh,
Kyuki Naqaab Ho Ya Naseeb Sarakta Jaroor Hai.
जब तक था दम में दम न दबे आसमाँ से हम,
जब दम निकल गया तो ज़मीं ने दबा लिया।
Jab Tak Tha Dum Mein Dum Na Dabe Aasmaan Se Hum,
Jab Dum Nikal Gaya To Zamin Ne Dabaa Liya.
ये पेड़ ये पत्ते ये शाखें भी परेशान हो जाएं,
अगर परिंदे भी हिन्दू और मुस्लमान हो जाएं।
Ye Ped Ye Patte Ye Shakhein Pareshan Ho Jayein,
Agar Parinde Bhi Hindu Aur Musalmaan Ho Jayein.
हुआ सवेरा तो हम उनके नाम तक भूल गए
जो बुझ गए रात में चरागों की लौ बढ़ाते हुए।
Hua Savera To Hum Unke Naam Tak Bhool Gaye,
Jo Bujh Gaye Raat Mein Charagon Ki Lau Barhate Huye.