वो साकी बड़ा हसीन था,
आदी बना के जालिम ने
मैखाना बदल लिया।
Peeta Tha Jiske Saath,
Wo Saaqi Bada Haseen Tha,
Aadee Bana Ke Zaalim Ne
Maikhana Badal Liya.
झूठ कहते हैं लोग,
शराब गम हल्का कर देती है,
मैंने देखा है अक्सर,
खुद को नशे में रोते हुए।
Jhoothh Kehte Hain Log,
Sharaab Gham Halka Kar Deti Hai,
Maine Dekha Hai Aksar,
Khud Ko Nashe Mein Rote Huye.
पीता हूँ जितनी उतनी ही बढ़ती है तिश्नगी,
साक़ी ने जैसे प्यास मिला दी हो शराब में।
Peeta Hoon Jitni Utni Hi Barhti Hai Tishngi,
Saqi Ne Jaise Pyaas Mila Di Ho Sharab Mein.
जाहिद ने मैकशी की इजाज़त तो दी मगर,
रखी है इतनी शर्त खुदा से छुपा के पी।
Zahid Ne Maikashi Ki Ijazat To Dee Magar,
Rakhi Hai Itni Shart Khuda Se Chhupa Ke Pee.
तोहफे में मत गुलाब लेकर आना,
मेरी क़ब्र पर मत चिराग लेकर आना,
बहुत प्यासा हूँ बरसों से मैं,
जब भी आना शराब लेकर आना।
Tohfe Mein Mat Gulab Lekar Aana,
Meri Kabr Par Mat Chirag Lekar Aana,
Bahut Pyasa Hoon Barson Se Main,
Jab Bhi Aana Sharab Lekar Aana.
एक पल में ले गई मेरे सारे ग़म खरीद कर,
कितनी अमीर होती है ये बोतल शराब की।
Ek Pal Mein Le Gayi Mere Saare Gham Khareed Kar,
Kitni Ameer Hoti Hai Ye Botal Sarab Ki.
ग़मे-दुनिया में ग़मे-यार भी शामिल कर लो,
नशा बढ़ता है शराबें जो शराबों में मिलें।
Gham-e-Duniya Mein Gham-e-Yaar Bhi Shamil Kar Lo,
Nasha Barhta Hai Sharabein Jo Sharabon Se Mile.
यह साकी ने सागर में क्या चीज दे दी,
कि तौबा हुई पानी-पानी हमारी।
Ye Saqi Ne Sagar Mein Kya Cheej De Di,
Ki Tauba Huyi Paani-Paani Humari.
मैं समझता हूँ तेरी इशवागिरी को साकी,
काम करती है नजर नाम पैमाने का है।
Main Samajhta Hoon Teri IshwaGiri Ko Saqi,
Kaam Karti Hai Najar Naam Paimaane Ka.