हर एक पहलू तेरा मेरे दिल में आबाद हो जाये,
तुझे मैं इस क़दर देखूं मुझे तू याद हो जाये।
Har Ek Pehlu Tera Mere Dil Me Aabaad Ho Jaye,
Tujhe Main Iss Kadar Dekhu Mujhe Tu Yaad Ho Jaye.
ये सच है कि हम मोहब्बत से डरते हैं,
क्यूँ कि ये प्यार दिल को बहुत तड़पाता है,
आँख में आँसू तो हम छुपा सकते हैं,
दर्द-ए-दिल दुनिया को पता चल जाता है।
Ye Sach Hai Ki Hum Mohabbat Se Darte Hain,
Kyun Ki Ye Pyar Dil Ko Bahut Tadpata Hai,
Aankh Mein Aansoo To Hum Chhupa Sakte Hain,
Dard-e-Dil Duniya Ko Pata Chal Jata Hai.
मैं एक शाम जो रोशन दीया उठा लाया,
तमाम शहर कहीं से हवा उठा लाया।
Main Ek Shaam Jo Roshan Deeya Uthha Laya,
Tamaam Shahar Kahin Se Hawa Uthha Laya.
नजरों में दोस्तों की जो इतना खराब है,
उसका कसूर ये है कि वो कामयाब है।
Najron Mein Doston Ki Jo Itna Kharab Hai,
Uska Qasoor Ye Hai Ki Wo Kaamyab Hai.
वो तारों की तरह रात भर चमकते रहे,
हम चाँद से तन्हा सफ़र करते रहे,
वो तो बीते वक़्त थे उन्हें आना न था,
हम यूँ ही सारी रात करवट बदलते रहे।
Wo Taaro Ki Tarah Raat Bhar Chamkte Rahe,
Hum Chaand Se Tanha Safar Karte Rahe,
Wo To Beete Waqt The Unhein Aana Na Tha,
Hum Yoon Hi Saari Raat Karbat Badalte Rahe.
जिन्दगी कशमकश-ए-इश्क के आगाज का नाम,
मौत अंजाम इसी दर्द के अफसाने का।
Zindagi KashmKash-e-Ishq Ke Aagaz Ka Naam,
Maut Anjaam Hai Isee Dard Ke Afsaane Ka.