Shayari

Advertisement

BeWafa Tujhko Bhulaya Nahi

तेरा ख्याल दिल से मिटाया नहीं अभी,
बेवफा मैंने तुझको भुलाया नहीं अभी।
Tera Khayal Dil Se Mitaya Nahi Abhi,
BeWafa Maine Tujhko Bhulaya Nahi Abhi.

Shayari Bewafa TujhKo Bhulaya Nahi

हमसे न करिये बातें यूँ बेरुखी से सनम,
होने लगे हो कुछ-कुछ बेवफा से तुम।
Humse Na Kariye Baatein Yoon Berukhi Se Sanam,
Hone Lage Ho Kuchh-Kuchh Bewafa Se Tum.

Advertisement

Intezaar Shayari, Dekhe Huye Kisi Ko

फरियाद कर रही है यह तरसी हुई निगाह,
देखे हुए किसी को ज़माना गुजर गया।
Fariyad Kar Rahi Hai Ye Tarsi Huyi Nigaah,
Dekhe Huye Kisi Ko Zamana Gujar Gaya.

Tarsi Huyi Nigaah Ki Fariyaad Wait Shayari

ये कह-कह के हम दिल को समझा रहे हैं,
वो अब चल चुके हैं वो अब आ रहे हैं।
Ye Keh-Keh Ke Hum Dil Ko Samjha Rahe Hain,
Wo Ab Chal Chuke Hai Wo Ab Aa Rahe Hain.

Advertisement

Meri Aankh Ke Aansoo Nikle

राह तकते हुए जब थक गई मेरी आँखें,
फिर तुझे ढूढ़ने मेरी आँख के आँसू निकले।
Raah Takte Huye Jab Thak Gayi Meri Aankhein,
Fir Tujhe Dhoondne Meri Aankh Ke Aansoo Nikle.

Meri Aankh Ke Aansoo Tears Shayari in Hindi

मुझे मालूम है तुमने बहुत बरसात देखी है,
मगर मेरी इन्हीं आँखों से सावन हार जाता है।
Mujhe Maloom Hai Tumne Bahut Barsaat Dekhi Hai,
Magar Meri Inhi Aankhon Se Sawan Haar Jaata Hai.

Advertisement

Heart Touching Shayari, Unki Har Khwahish

हम उनकी हर ख्वाहिश
पूरी करने का वादा कर बैठे,
हमें क्या पता था
हमें छोड़ना ही एक ख्वाहिश थी।
Hum Unki Har Khwahish
Poori Karne Ka Vaada Kar Baithhe,
Humein Kya Pata Tha
Humein Chhodna Hi Unki Khwahish Hogi.

बहुत खास थे कभी
नजरों में किसी के हम भी,
मगर नजरों के तकाज़े
बदलने में देर कहाँ लगती है।
Bahut Khaas The Kabhi
Najron Mein Kisi Ke Hum Bhi,
Magar Najaron Ke Takaaze
Badalne Me Der Kahan Lagti Hai.

Advertisement

Manta Hi Nahi Kambakht Dil

Manta Hi Nahi Kambakht Dil Shayari

मानता ही नहीं कमबख्त दिल उसे चाहने से,
मैं हाथ जोड़ता हूँ तो ये गले पड़ जाता है।
Manta Hi Nahi Kambakht Dil Usey Chahne Se,
Main Haath Jodta Hoon To Ye Gale Pad Jata Hai.

न पूछ दिल की हकीक़त मगर ये कहता है,
वो भी बेक़रार रहे जिसने बेक़रार किया।
Na Poochh Dil Ki Hakiqat Magar Ye Kehta Hai,
Wo Bhi Bekaraar Rahe Jisne Bekarar Kiya.