तन्हाईयाँ कुछ इस तरह से डसने लगी मुझे,
मैं आज अपने पैरों की आहट से डर गया।
Tanhayian Kuchh Iss Tarah Se Dasne Lagi Mujhe,
Main Aaj Apne Pairon Ki Aahat Se Darr Gaya.
कभी लफ्ज़ भूल जाऊं कभी बात भूल जाऊं,
तूझे इस कदर चाहूँ कि अपनी जात भूल जाऊं,
कभी उठ के तेरे पास से जो मैं चल दूँ,
जाते हुए खुद को तेरे पास भूल जाऊं।
Kabhi Lafz Bhool Jaaun Kabhi Baat Bhool Jaaun,
Tujhe Iss Kadar Chahun Ki Apni Jaat Bhool Jaaun,
Kabhi Uthh Ke Tere Paas Se Jo Main Chal Dun,
Jaate Huye Khud Ko Tere Paas Bhool Jaaun.
इस से पहले कि सारे ख्वाब टूट जायें,
और ये ज़िन्दगी हम से रूठ जाए,
एक दूसरे के प्यार में खो जायें इस कदर,
कि हम सारे गमों को भूल जायें।
Iss Se Pehle Ki Saare Khwaab Toot Jaayein,
Aur Yeh Zindagi Hum Se Rooth Jaaye,
Ek Doosre Ke Pyar Mein Kho Jaayein Iss Kadar,
Ke Hum Saare Ghamon Ko Bhool Jayein.
वो तेरे खत तेरी तस्वीर और सूखे फूल,
बहुत उदास करती हैं मुझको निशानियाँ तेरी।
Wo Tere Khat Teri Tasvir Aur Sookhe Phool,
Bahut Udaas Karti Hain Mujhko Nishaniyan Teri.
बिछड़ के मुझसे तुम अपनी कशिश न खो देना,
उदास रहने से चेहरा खराब होता है।
Bichhad Ke Mujhse Tum Apni Kashish Na Kho Dena,
Udaas Rehne Se Chehra Kharab Hota Hai.
मुझे ये डर है तेरी आरजू न मिट जाये,
बहुत दिनों से तबियत मेरी उदास नहीं।
Mujhe Ye Darr Hai Teri Aarzoo Na Mit Jaye,
Bahut Dinon Se Tabiyat Meri Udaas Nahin.
मेरे दुश्मन भी मेरे मुरीद हैं शायद,
वक़्त-बेवक्त मेरा नाम लिया करते हैं,
मेरी गली से गुजरते हैं छुपा के खंजर,
रुबरू होने पर सलाम किया करते हैं।
Mere Dushman Bhi Mere Mureed Hain Shayad,
Waqt-BeWaqt Mera Naam Liya Karte Hain,
Meri Gali Se Gujarte Hain Chhupa Ke Khanzar,
Ru-Ba-Ru Hone Par Salaam Kiya Karte Hain.
हालात के कदमों पर समंदर नहीं झुकते,
टूटे हुए तारे कभी ज़मीन पर नहीं गिरते,
बड़े शौक से गिरती हैं लहरें समंदर में,
पर समंदर कभी लहरों में नहीं गिरते।
Haalat Ke Kadamo Par Sikandar Nahi Jhukte,
Toote Huye Taare Kabhi Zamin Par Nahi Girte,
Bade Shauk Se Girti Hai Lahrein Samundar Mein,
Par Samundar Kabhi Lahron Mein Nahi Girte.
हौसले भी किसी हकीम से कम नहीं होते,
हर तकलीफ़ में ताकत की दवा देते हैं।
Hausle Bhi Kisi Hakeem Se Kam Nahi Hote,
Har Takleef Mein Takat Ki Davaa Dete Hain.
एक सूरज था कि तारों के घराने से उठा,
आँख हैरान है क्या शख़्स ज़माने से उठा।
Ek Sooraj Tha Ki Taaro Ke Gharane Se Uthha,
Aankh Hairan Hai Kya Shakhs Zamane Se Uthha.