Alone Shayari | तन्हाई शायरी

Hey Friends, Feeling alone? Read our latest Loneliness Shayari in Hindi on this page. This alone poetry will be your companion in the moments of loneliness. We have an unique collection of Akelapan Shayari, Sad Alone Shayari image, best Tanhai Shayari, new alone shayari in hindi for girlfriend, tanhai quotes, top tanhayee shayari 2024. Images of sad lonely boy and girl also available in our collection. If you do like this article, share this on social media with your friends.

Advertisement

Alone Shayari, Zindagi Hai Akeli

जिंदगी है अकेली दिल ये नादान है,
क्या सफ़र है और क्या सामान है,
किसी तन्हा के गम को समझ कर देखो,
ठुकरा देना तो बहुत आसान है।

Zindagi Hai Akeli Dil Ye Nadaan Hai,
Kya Safar Hai Aur Kya Samaan Hai,
Kisi Tanha Ke Gham Ko Samajh Kar Dekho,
Thhukra Dena To Bahuta Aasan Hai.

Advertisement

Tanha Ho Gayin Tanhaaiyan

Hindi Loneliness Shayari - Tanhaiyan

अब तो उन की याद भी आती नहीं,
कितनी तन्हा हो गई तन्हाइयां।
Ab Toh Unn Ki Yaad Bhi Aati Nahin,
Kitni Tanha Ho Gayin Tanhaaiyan.

सुला के सबको गहरी नींद में,
फिर अकेला क्यूँ अंधेरा जागता है।
Sula Ke Sabko Gehri Neend Mein,
Fir Akela Kyun Andhera Jaagta Hai.

Advertisement

Akele Dil Ki Raahon Mein

गीले कागज की तरह है जिंदगी अपनी,
कोई जलाता भी नहीं कोई बहाता भी नहीं,
इस क़दर है अकेले राहों में दिल की,
कोई बुलाता भी नहीं कोई बतलाता भी नहीं।

Geele Kagaz Ki Tarah Hai Zindagi Apni,
Koi Jalata Bhi Nahin Koi Bahata Bhi Nahin,
Iss Qadar Hain Akele Raahon Mein Dil Ki,
Koi Bulata Bhi Nahi Koi Batlata Bhi Nahin.

Advertisement

Loneliness Shayari, Tanhai Ke Lamhon Mein

हर वक़्त का हँसना तुझे बर्बाद ना कर दे,
​तन्हाई के लम्हों में कभी रो भी लिया कर।
Har Waqt Ka Hansna Tujhe Barbaad Na Kar De,
Tanhai Ke Lamhon Mein Kabhi Ro Bhi Liya Kar.

Tanhai Ke Lamhe Alone Shayari in Hindi

तन्हाईयाँ कुछ इस तरह से डसने लगी मुझे,
मैं आज अपने पैरों की आहट से डर गया।
Tanhayian Kuchh Iss Tarah Se Dasne Lagi Mujhe,
Main Aaj Apne Pairon Ki Aahat Se Darr Gaya.

Advertisement

Alone Shayari, Chalte-Chalte Akele

चलते-चलते अकेले अब थक गए हम,
जो मंज़िल को जाये वो डगर चाहिए,
तन्हाई का बोझ अब और उठता नहीं,
अब हमको भी एक हमसफ़र चाहिए।
Chalte-Chalte Akele Ab Thak Gaye Hum,
Jo Manzil Ko Jaye Wo Dagar Chahiye.
Tanhayi Ka Bojh Ab Aur UthTa Nahi,
Ab Humko Bhi Ek HumSafar Chahiye,

‹ Prev 1 2 3 4 7