Alone Shayari | तन्हाई शायरी

Advertisement

Tera Humsafar Kahan Hai

उन्हीं रास्तों ने जिन पे कभी तुम साथ थे मेरे,
मुझे रोक रोक के पूछा तेरा हमसफ़र कहाँ है।
Unhien Raston Ne Jin Pe Kabhi Tum Sath The Mere,
Mujhe Rok Rok Ke Poochha Tera Humsafar Kahan Hai.

Tera Humsafar Kahan Hai Alone Shayari in Hindi

हम अंजुमन में सबकी तरफ देखते रहे,
अपनी तरह से कोई हमें अकेला नहीं मिला।
Hum Anjuman Mein Sabki Taraf Dekhte Rahe,
Apni Tarah Se Koi Humein Akela Nahi Mila.

Advertisement

Hindi Lonely Shayari, Tanhayion Ka Aalam

Tanhayion Ke Aalam Ki Na Baat Karo Karo Dost,
Varna Ban Uthhega Jaam Aur BadNaam Sharab Hogi.
तन्हाइओं के आलम की ना बात करो दोस्त,
वर्ना बन उठेगा जाम और बदनाम शराब होगी।

Kabhi Ghabra Gaya Hoga Dil Tanhayi Mein Unka,
Meri Tasveer Ko Sine Se Laga Kar So Gaye Honge.
कभी घबरा गया होगा दिल तन्हाई में उनका,
मेरी तस्वीर को सीने से लगा कर सो गए होंगे।

Advertisement

Chhod Do Tanha Hi Mujhko

Mujhe Tanha Chhod Do Shayari Loneliness

छोड़ दो तन्हा ही मुझको यारो,
साथ मेरे रहकर क्या पाओगे,
अगर हो गई तुमको मोहब्बत कभी,
मेरी तरह तुम भी पछताओगे।

Chhod Do Tanha Hi Mujhko Yaaro,
Saath Mere Reh Kar Kya Paaoge,
Agar Ho Gayi Aapko Mohabbat Kabhi,
Meri Tarah Tum Bhi Pachhtaoge.

Advertisement

Waqt To Do Hi Mushkil Gujre

वक़्त तो दो ही मुश्किल गुजरे हैं सारी उम्र में,
इक तेरे आने के पहले इक तेरे जाने के बाद।
Waqt To Do Hi Mushkil Gujre Hain Saari Umr Mein,
Ek Tere Aane Se Pehle Ik Tere Jaane Ke Baad.

तुम फिर ना आ सकोगे, बताना तो था ना मुझे,
तुम दूर जा कर बस गए मैं ढूंढ़ता ही रह गया।
Tum Phir Na Aa Sakoge Batana To Tha Na Mujhe,
Tum Door Jaakar Bas Gaye Main Dhoondhta Hi Reh Gaya.

Advertisement

Jahan Tanha Miloge Tum

मेरी यादें मेरा चेहरा मेरी बातें रुलायेंगी,
हिज़्र के दौर में गुज़री मुलाकातें रुलायेंगी,
दिनों को तो चलो तुम काट भी लोगे फसानों में,
जहाँ तन्हा मिलोगे तुम तुम्हें रातें रुलायेंगी।

Meri Yaadein Mera Chehra Meri Baatein Rulayengi,
Hijr Ke Daur Mein Gujri Mulakatein Rulayengi,
Dino Ko To Chalo Tum Kaat Bhi Loge Fasaano Mein,
Jahan Tanha Miloge Tum Tumhein Raatein Rulayengi.