Alone Shayari | तन्हाई शायरी

Advertisement

Qayamat Shab-e-Tanhaai Ki

तेरा पहलू तेरे दिल की तरह आबाद रहे,
तुझपे गुजरे न क़यामत शब-ए-तन्हाई की।
Tera Pehloo Tere Dil Ki Tarah Aabaad Rahe,
Tujh Pe Gujre Na Qayamat Shab-e-Tanhayi Ki.

Shayari Qayamat Shab-e-Tanhaai Ki

शायद इसी को कहते हैं मजबूरी-ए-हयात,
रुक सी गयी है उम्र-ए-गुरेजां तेरे बगैर।
Shayad Isi Ko Kehte Hain Majboori-e-Hayat,
Ruk Si Gayi Hai Umr-e-Gurejan Tere Bagair.

Advertisement

Main Bhi Tanha Tum Bhi Tanha Shayari

मैं भी तनहा हूँ और तुम भी तन्हा,
वक़्त कुछ साथ गुजारा जाए।
Main Bhi Tanha Hoon Aur Tum Bhi Tanha,
Waqt Kuchh Saath Gujara Jaye.

आँखें फूटें जो झपकती भी हों,
शब-ए-तन्हाई में कैसा सोना।
Aankhein Footein Jo Jhapakti Bhi Hon,
Shab-e-Tanhai Mein Kaisa Sona.

Advertisement

Tanhai Shayari, Aaj Ki Raat Tanha Hai

आज की रात... जो मेरी तरह तन्हा है,
मैं किसी तरह गुजारूँगा चला जाऊंगा,
तुम परेशाँ न हो बाब-ए-करम-वा न करो,
और कुछ देर पुकारूंगा चला जाऊंगा।
Aaj Ki Raat... Jo Meri Tarah Tanha Hai,
Main Kisi Tarah Gujarunga Chala Jaaunga,
Tum Pareshan Na Ho Baab-e-Karam-Wa Na Karo,
Aur Kuchh Der Pukarunga Chala Jaaunga.

Advertisement

Tanha Shayari, Rote Hain Tanha Dekh Kar

Rote Hain Tanha Raste Shayari

रोते हैं तन्हा देख कर मुझको वो रास्ते,
जिन पे तेरे बगैर मैं गुजरा कभी न था।
Rote Hain Tanha Dekh Kar Mujhko Wo Raaste,
Jin Pe Tere Bagair Main Gujra Kabhi Na Tha.

तेरे वजूद की खुशबु बसी है साँसों में,
ये और बात है नजरों से दूर रहते हो।
Tere Wajood Ki Khushbo Basi Hai Saanson Mein,
Ye Aur Baat Hai Najron Se Door Rehete Ho.

Advertisement

Tujhse Bichhadne Ke Baad Loneliness Poetry

हुआ है तुझसे बिछड़ने के बाद ये मालूम,
कि तू नहीं था तेरे साथ एक दुनिया थी।
Hua Hai Tujhse Bichhadne Ke Baad Ye Maloom,
Ke Tu Nahi Tha Tere Sath Ek Duniya Thi.

मीठी सी खुशबू में रहते हैं गुमसुम,
अपने अहसास से बाँट लो तन्हाई मेरी।
Meethhi Si Khushboo Mein Rehte Hain GumSum,
Apne Ehsaas Se Baant Lo Tanhaai Meri.

ना ढूंढ़ मेरा किरदार दुनियाँ की भीड़ में,
वफादार तो हमेशा तन्हा ही मिलते है ।
Na Dhoondh Mera Kirdaar Duniya Ki Bheed Mein,
Wafadar To Hamesha Tanha Hi Milte Hain.