Qayamat Shab-e-Tanhaai Ki
तेरा पहलू तेरे दिल की तरह आबाद रहे,
तुझपे गुजरे न क़यामत शब-ए-तन्हाई की।
Tera Pehloo Tere Dil Ki Tarah Aabaad Rahe,
Tujh Pe Gujre Na Qayamat Shab-e-Tanhayi Ki.
शायद इसी को कहते हैं मजबूरी-ए-हयात,
रुक सी गयी है उम्र-ए-गुरेजां तेरे बगैर।
Shayad Isi Ko Kehte Hain Majboori-e-Hayat,
Ruk Si Gayi Hai Umr-e-Gurejan Tere Bagair.
चले भी आओ कि मैराज़-ए-इश्क हो जाए,
आज की रात अकेला हूँ मैं खुदा की तरह।
Chale Bhi Aao Ke Mairaaz-e-Ishq Ho Jaye,
Aaj Ki Raat Akela Hoon Main Khuda Ki Tarah.
अभी अभी वो मिला था हजार बातें कीं,
अभी अभी वो गया है मगर ज़माना हुआ।
Abhi Abhi Wo Mila Tha Hajaar Baatein Ki,
Abhi Abhi Wo Gaya Hai Magar Zamana Hua.
आता नहीं है जीना उस नादान के बगैर,
काश उस शख्स ने मरना भी सिखाया होता।
Aata Nahi Hai Jeena Uss Naadaan Ke Bagair,
Kaash Uss Shakhs Ne Marna Bhi Sikhaya Hota.