Hindi Attitude Shayari for Tough Boys
एक इसी उसूल पर गुजारी है ज़िन्दगी मैंने,
जिसको अपना माना उसे कभी परखा नहीं।
Ek Isee Usool Par Gujaari Hai Zindagi Maine,
Jisko Apna Maana Usey Kabhi Parkha Nahin.
आग लगाना मेरी फितरत में नहीं है,
मेरी सादगी से लोग जलें तो मेरा क्या कसूर।
Aag Lagana Meri Fitrat Mein Nahi Hai,
Meri Saadgi Se Log Jale To Mera Kya Kasoor.
यकीन न आये तो एक बार पूछ कर देखो,
जो हँस रहा है वो ग़मों से चूर निकलेगा।
Yakeen Na Aaye To Ek Baar Poochh Kar Dekh Lo,
Jo Hans Raha Hai Wo Ghamon Se Choor Niklega.
कुछ ग़मों का होना भी जरूरी है ज़िन्दगी में,
ज़िंदा होने का अहसास बना रहता है।
Kuchh Ghamon Ka Hona Bhi Jaroori Hai Zindagi Mein,
Zinda Hone Ka Ehsaas Bana Rehta Hai.
मुझको अब तुझ से मोहब्बत नहीं रही,
ऐ ज़िन्दगी तेरी भी मुझे ज़रूरत नहीं रही,
बुझ गये अब उसके इंतज़ार के वो दीये,
कहीं आस-पास भी उस की आहट नहीं रही।
Mujhko Ab Tujh Se Mohabbat Nahi Rahi,
Ai Zindagi Teri Bhi Mujhe Jaroorat Nahi Rahi,
Bujh Gaye Ab Uske Intezaar Ke Wo Deeye,
Kahin Aas-Paas Bhi Uski Aahat Nahi Rahi.
ढूढ़ोगे उजड़े रिश्तों में वफ़ा के खजाने,
तुम मेरे बाद मेरी मोहब्बत को याद करोगे।
Dhoodhoge Ujade Rishton Mein Wafa Ke Khazane,
Tum Mere Baad Meri Mohabbat Ko Yaad Karoge.
उनकी फितरत है कि मुझको भूल जाते हैं वो,
मेरी आदत है कि उनको याद कर लेता हूँ मैं।
Unki Fitrat Hai Ki Mujhko Bhool Jaate Hain Wo,
Meri Aadat Hai Ki Unko Yaad Kar Leta Hoon Main.