कुछ ग़मों का होना भी जरूरी है ज़िन्दगी में,
ज़िंदा होने का अहसास बना रहता है।
Kuchh Ghamon Ka Hona Bhi Jaroori Hai Zindagi Mein,
Zinda Hone Ka Ehsaas Bana Rehta Hai.
इस कायनाते–ग़म में खुशियाँ कहाँ मयस्सर,
दीवाना ढूँढ़ते हैं सहरा में आबो–दाना।
Iss Qaynaat-e-Gham Mein Khushiyan Kahan Mayassar,
Deewana Dhhoondhte Hain Sehra Mein Aabo-Daana.
जानता हूँ ऐसे शख्स को मैं भी मुनीर,
ग़म से पत्थर हो गया लेकिन कभी रोया नहीं।
Jaanta Hoon Ek Aise Shakhs Ko Main Bhi Munir,
Gham Se Patthar Ho Gaya Lekin Kabhi Roya Nahin.
(Munir Niazi)
आया था एक शख्स मेरा दर्द बाँटने,
रुखसत हुआ तो अपना भी ग़म दे गया मुझे।
Aaya Tha Ek Shakhs Mera Dard Baantne,
Rukhsat Hua To Apna Bhi Gham De Gaya Mujhe.
माँगने से मिल सकती नहीं हमें एक भी ख़ुशी,
पाये हैं लाख रंज तमन्ना किये बगैर।
Maagne Se Mil Sakti Nahi Humein Ek Bhi Khushi,
Paaye Hai Laakh Ranz Tamanna Kiye Bagair.
Aise To Gham Nahi Mile
Wohi Gham Hai Jidhar Jayein