ShayariLovers

Advertisement

Dekhe Huye Kisi Ko

फरियाद कर रही है यह तरसी हुई निगाह,
देखे हुए किसी को ज़माना गुजर गया।
Fariyad Kar Rahi Hai Ye Tarsi Huyi Nigaah,
Dekhe Huye Kisi Ko Zamana Gujar Gaya.

Tarsi Huyi Nigaah Ki Fariyaad

ये कह-कह के हम दिल को समझा रहे हैं,
वो अब चल चुके हैं वो अब आ रहे हैं।
Ye Keh-Keh Ke Hum Dil Ko Samjha Rahe Hain,
Wo Ab Chal Chuke Hai Wo Ab Aa Rahe Hain.

Akele Dil Ki Raahon Mein

गीले कागज की तरह है जिंदगी अपनी,
कोई जलाता भी नहीं कोई बहाता भी नहीं,
इस क़दर है अकेले राहों में दिल की,
कोई बुलाता भी नहीं कोई बतलाता भी नहीं।

Geele Kagaz Ki Tarah Hai Zindagi Apni,
Koi Jalata Bhi Nahin Koi Bahata Bhi Nahin,
Iss Qadar Hain Akele Raahon Mein Dil Ki,
Koi Bulata Bhi Nahi Koi Batlata Bhi Nahin.

Meri Aankh Ke Aansoo Nikle

राह तकते हुए जब थक गई मेरी आँखें,
फिर तुझे ढूढ़ने मेरी आँख के आँसू निकले।
Raah Takte Huye Jab Thak Gayi Meri Aankhein,
Fir Tujhe Dhoondne Meri Aankh Ke Aansoo Nikle.

मेरी आँख के आँसू निकले Shayari

मुझे मालूम है तुमने बहुत बरसात देखी है,
मगर मेरी इन्हीं आँखों से सावन हार जाता है।
Mujhe Maloom Hai Tumne Bahut Barsaat Dekhi Hai,
Magar Meri Inhi Aankhon Se Sawan Haar Jaata Hai.

Humein Chhodna Unki Khwahish

हम उनकी हर ख्वाहिश
पूरी करने का वादा कर बैठे,
हमें क्या पता था
हमें छोड़ना ही एक ख्वाहिश थी।
Hum Unki Har Khwahish
Poori Karne Ka Vaada Kar Baithhe,
Humein Kya Pata Tha
Humein Chhodna Hi Unki Khwahish Hogi.

बहुत खास थे कभी
नजरों में किसी के हम भी,
मगर नजरों के तकाज़े
बदलने में देर कहाँ लगती है।
Bahut Khaas The Kabhi
Najron Mein Kisi Ke Hum Bhi,
Magar Najaron Ke Takaaze
Badalne Me Der Kahan Lagti Hai.

Manta Hi Nahi Kambakht Dil

मानता ही नहीं कमबख्त दिल उसे चाहने से,
मैं हाथ जोड़ता हूँ तो ये गले पड़ जाता है।
Manta Hi Nahi Kambakht Dil Usey Chahne Se,
Main Haath Jodta Hoon To Ye Gale Pad Jata Hai.

न पूछ दिल की हकीक़त मगर ये कहता है,
वो भी बेक़रार रहे जिसने बेक़रार किया।
Na Poochh Dil Ki Hakiqat Magar Ye Kehta Hai,
Wo Bhi Bekaraar Rahe Jisne Bekarar Kiya.

12345Next ›