Maut Shayari

Advertisement

Meri Maut Ka Manjar Shayari

कितना दिल-फरेब होगा वो मेरी मौत का मंजर,
मुझे ठुकराने वाले मेरे लिए आँसू बहायेंगे।
Kitna Dil-Fareb Hoga Woh Meri Maut Ka Manjar,
Mujhe Thukrane Wale Mere Liye Aansu Bahayange.

Advertisement

Maut Shayari, Maut Muqaddar Ho Gayi

Maut Shayari - Maut Muqaddar Ho Gayi

ये जमीं जब खून से तर हो गई है,
ज़िन्दगी कहते हैं बेहतर हो गई है,
हाथ पर मत खींच बेमतलब लकीरें,
मौत हर पल अब मुक़द्दर हो गई है।

Ye Zameen Jab Khoon Se Tar Ho Gayi Hai,
Zindagi Kahte Hain Behtar Ho Gayi Hai,
Hath Par Mat Kheench BeMatlab Lakeerein,
Maut Har Pal Ab Muqaddar Ho Gayi Hai.

Advertisement

Hindi Death Poetry, Mujhe Rulakar Sona

मुझे रुला कर सोना तो तुम्हारी आदत बन गई है,
अगर मेरी आँख न खुली तो तुम तड़पोगे बहुत।
Mujhe Rulakar Sona To Tumhari Aadat Ban Gayi Hai,
Agar Meri Aankh Na Khuli To Tum Tadapoge Bahut.

कोई नहीं आएगा मेरी जिदंगी में तुम्हारे सिवा,
बस एक मौत ही है जिसका मैं वादा नहीं करता।
Koi Nahi Aayega Meri Zindagi Mein Tumhare Siwa,
Bas Ek Maut Hi Hai Jiska Main Vaada Nahi Karta.

Advertisement

Kabr Mein Dil Dhadakta Raha

मोहब्बत मुझे थी बस तुम्हीं से सनम,
यादों में तुम्हारी यह दिल तड़पता रहा,
मौत भी मेरी चाहत को रोक न सकी,
कब्र में भी यह दिल धड़कता रहा।

Mohabbat Mujhe Thi Bas Tumhin Se Sanam,
Yadaon Mein Tumhari Yeh Dil Tadpta Raha,
Maut Bhi Meri Chaahat Ko Rok Na Saki,
Kabr Mein Bhi Yeh Dil Dhadakta Raha.

Kabr Mein Dil Dhadakta Raha Hindi Maut Shayari

Advertisement

Shayari Ek Qabr Nayi Hogi

ढूढ़ोगे कहाँ मुझको मेरा पता लेते जाओ,
एक कब्र नई होगी एक जलता दिया होगा।
Dhoodhoge Kahan MujhKo Mera Pata Lete Jaao,
Ek Qabr Nayi Hogi Ek Jalta Diya Hoga.

ज़िन्दगी बैठी थी अपने हुस्न पे फूली हुई,
मौत ने आते ही सारा रंग फीका कर दिया।
Zindagi Baithi Thi Apne Husn Pe Phooli Hui,
Maut Ne Aate Hi Saara Rang Feeka Kar Diya.

1 2 3 4 5 Next ›