Maut Shayari

Advertisement

Death Shayari, Ab Maut Se Keh Do

अब मौत से कह दो कि नाराजगी खत्म कर ले,
वो बदल गया है जिसके लिए हम ज़िंदा थे​।
Ab Maut Se Keh Do Narajgi Khatm Kar Le,
Wo Badal Gaya Hai Jiske Liye Hum Zinda The.

Meri Maut Se Keh Do Shayari

Advertisement

Marne Ki Shayari, Naamo-Nishaan Ki Fikr

बादे-फना फिजूल है नामोनिशां की फिक्र,
जब हम नहीं रहे तो रहेगा मज़ार क्या?
Baad-e-Fanaa Fizool Hai Naamo-Nishaan Ki Fikr,
Jab Hum Nahi Rahe To Rahega Mazaar Kya.

अब तो घबरा के ये कहते हैं कि मर जायेंगे,
मर के भी चैन न पाया तो किधर जायेंगे।
Ab To Ghabra Ke Ye Kehte Hai Ki Mar Jaayenge,
Mar Ke Bhi Chain Na Paaya To Kidhar Jaayenge.

Advertisement

Jism Ki Deewar Girne Ki Sadaa

आँख की ये एक हसरत थी कि बस पूरी हुई,
आँसुओं में भीग जाने की हवस पूरी हुई,
आ रही है जिस्म की दीवार गिरने की सदा,
एक अजब ख्वाहिश थी जो अबके बरस पूरी हुई।

Aankh Ki Ye Ek Hasrat Thi Ki Bas Poori Huyi,
Aansuon Mein Bheeg Jaane Ki Hawas Poori Huyi,
Aa Rahi Hai Jism Ki Deewar Girne Ki Sadaa,
Ek Ajab Khwahish Thi Jo Ab Ke Baras Poori Huyi.

Advertisement

Maut-o-Hasti Ki KashmKash

मौत-ओ-हस्ती की कशमकश में कटी उम्र तमाम,
गम ने जीने न दिया शौक ने मरने न दिया।
Maut-o-Hasti Ki KashmKash Mein Kati Tamaam Umr,
Gham Ne Jeene Na Diya Shauq Ne Marne Na Diya.

Maut-o-Hasti Ki Kashmkash Shayari

वादा करके और भी आफ़त में डाला आपने,
ज़िन्दगी मुश्किल थी अब मरना भी मुश्किल हो गया।
Vaada Karke Aur Bhi Aafat Mein Dala Aapne,
Zindagi Mushkil Thi Ab Marna Bhi Mushkil Ho Gaya.

Advertisement

Maut Se Shart Lagaye Baithhe

प्यार में सब कुछ भुलाए बैठे हैं,
चिराग यादों के जलाये बैठे है,
हम तो मरेंगे उनकी ही बाहों में,
ये मौत से शर्त लगाये बैठे हैं।

Pyar Mein Sab Kuchh Bhulaye Baithhe Hai,
Chiraag Yaadon Ke Jalaye Baithhe Hai,
Hum To Marenge Unki Hi Baahon Mein,
Ye Maut Se Shart Lagaye Baithhe Hai.