Maut-o-Hasti Ki KashmKash
मौत-ओ-हस्ती की कशमकश में कटी उम्र तमाम,
गम ने जीने न दिया शौक ने मरने न दिया।
Maut-o-Hasti Ki KashmKash Mein Kati Tamaam Umr,
Gham Ne Jeene Na Diya Shauq Ne Marne Na Diya.
वादा करके और भी आफ़त में डाला आपने,
ज़िन्दगी मुश्किल थी अब मरना भी मुश्किल हो गया।
Vaada Karke Aur Bhi Aafat Mein Dala Aapne,
Zindagi Mushkil Thi Ab Marna Bhi Mushkil Ho Gaya.
तुम समझते हो कि जीने की तलब है मुझको,
मैं तो इस आस में ज़िंदा हूँ कि मरना कब है।
Tum Samjhate Ho Ke Jeene Ki Talab Hai Mujh Ko,
Main To Iss Aas Mein Zinda Hun Ki Marna Kab Hai.
न उड़ाओ यूं ठोकरों से मेरी खाके-कब्र ज़ालिम,
यही एक रह गई है मेरे प्यार की निशानी।
Na Udaao Yoon Thokro Mein Meri Khak-e-Kabr Zalim,
Yehi Ek Reh Gayi Hai Mere Pyar Ki Nishaani.