Maut Shayari

Advertisement

Dil Bhi Jal Gaya Hoga

जला है जिस्म तो दिल भी जल गया होगा,
कुरेदते हो जो अब राख जुस्तजू क्या है?
Jala Hai Jism To Dil Bhi Jal Gaya Hoga,
Kuredte Ho Jo Ab Raakh Justjoo Kya Hai.

Maut Shayari in Hindi Dil Jal Gaya Hoga

कितनी अज़ीयत है इस एहसास में,
कि मुझे तुझसे मिले बिना ही मर जाना है।
Kitni Aziyat Hai Iss Ehsaas Mein,
Ki Mujhe Tujhse Mile Bina Hi Mar Jana Hai.

Advertisement

Maut Shayari, Dum Aaram Se Nikle

जरा चुपचाप तो बैठो कि दम आराम से निकले,
इधर हम हिचकी लेते हैं उधर तुम रोने लगते हो।
Jara Chup-Chap To Baithho Ki Dum Aaram Se Nikle,
Idhar Hum Hichki Lete Hain Udhar Tum Rone Lagte Ho.

खबर सुनकर मरने की वो बोले रक़ीबों से,
खुदा बख्शे बहुत-सी खूबियां थीं मरने वाले में।
Khabar SunKar Marne Ki Wo Bole Raqeebo Se,
Khuda Bakhse Bahut Si Khoobiyan Thi Marne Wale Mein.

Advertisement

Kahin Maut To Gumnaam Na Ho

चंद साँसे बची हैं आखिरी बार दीदार दे दो,
झूठा ही सही एक बार मगर तुम प्यार दे दो,
ज़िन्दगी तो वीरान थी मौत भी गुमनाम ना हो,
मुझे गले लगा लो फिर चाहे मौत हजार दे दो।

Chand Saansein Bachi Hain Aakhiri Deedar De Do,
Jhoothha Hi Sahi Ek Baar Magar Pyar De Do,
Zindagi To Veeran Thi Par Maut To Gumnaam Na Ho,
Mujhe Gale Laga Lo Fir Chahe Maut Hajaar De Do.

Advertisement

Maut Ne Zamindar Kar Diya

दो गज़ ज़मीन सही मेरी मिल्कियत तो है,
ऐ मौत तूने मुझको ज़मींदार कर दिया।
Do Ghaz Zamin Sahi Meri Milkiyat To Hai,
Ai Maut Tu Ne Mujh Ko Zamindar Kar Diya.
(Rahat Indori)

Maut Ne Zamindar Kar Diya Shayari

ऐ मौत तुझे एक दिन आना है भले,
आ जाती शबे फुरकत में तो अहसां होता।
Ai Maut Tujhe Ek Din Aana Hai Bhaley,
Aa Jati Shab-e-Furqat Mein To Ehsaan Hota.

Advertisement

Humari Maut Ka ilzaam Na Lo

हमारे प्यार का यूँ इम्तिहान न लो,
करके बेरुखी मेरी तुम जान न लो,
एक इशारा कर दो हम खुद मर जाएंगे,
हमारी मौत का खुद पे इल्ज़ाम न लो।

Humare Pyar Ka Yoon Imtehaan Na Lo,
Kar Ke Berukhi Meri Tum Jaan Na Lo,
Ek Ishara Kar Do Hum Khud Mar Jayenge,
Humari Maut Ka Khud Pe ilzaam Na Lo.