Maut Shayari

मौत शायरी : Maut Shayari in Hindi is about death in love. Read here our latest collection of maut shayari containing death shayari in hindi, marne ki shayari, kafan shayari, maut ki shayari, janaza shayari, sad maut status, mayyat shayari and Kabr shayari.

Advertisement

Shayari Maut Ka Waqt

ऐ हिज्र वक़्त टल नहीं सकता है मौत का,
लेकिन ये देखना है कि मिट्टी कहाँ की है।
Ai Hijr Waqt Tal Nahi Sakta Hai Maut Ka,
Lekin Ye Dekhna Hai Ke Mitti Kahan Ki Hai.

Maut Ka Waqt Shayari

Advertisement

Death Shayari in Hindi, Aakhiri Deedar Kar Lo

आखिरी दीदार कर लो खोल कर मेरा कफ़न,
अब ना शरमाओ कि चश्म-ए-मुन्तजिर बेनूर है।
Aakhiri Deedar Kar Lo Khol Kar Mera Kafan,
Ab Na Sharmaao Ki Chashm-e-Muntzir Be-Noor Hai.

तमाम गिले-शिकवे भुला कर सोया करो यारो,
सुना है मौत किसी को कोई मोहलत नहीं देती।
Tamaam Gile-Shikwe Bhula Kar Soya Karo Yaaro,
Suna Hai Maut Kisi Ko Koi Mohalat Nahi Deti.

Advertisement

Maut Ka Malaal Na Aaya Shayari

अब तलक हम मुन्तजिर रहे हैं जिनके,
उनको हमारा ख्याल तक न आया,
उनके प्यार में हमारी जान तक चली गयी,
उनको हमारी मौत का मलाल तक न आया।
Ab Talak Hum Muntzir Rahe Hain Jinke,
Unko Humara Khayal Tak Na Aaya,
Unke Pyar Mein Humari Jaan Tak Chali Gayi,
Unko Humari Maut Ka Malaal Tak Na Aaya.

Advertisement

Maut Shayari in Hindi, Aakhiri Saansein

चले आओ मुसाफिर
आखिरी साँसें बची हैं कुछ,
तुम्हारी दीद हो जाती तो
खुल जातीं मेरे आँखें।
Chale Aao Musafir
Aakhiri Saansein Bachi Hain Kuchh,
Tumhari Deed Ho Jaati To
Khul Jaati Meri Aankhein.

Aakhiri Saansein Hindi Maut Shayari

Advertisement

Jeene Se Maut Behtar Hai

कितना और दर्द देगा बस इतना बता दे,
ऐसा कर ऐ खुदा मेरी हस्ती मिटा दे,
यूँ घुट-घुट के जीने से तो मौत बेहतर है,
मैं कभी न जागूं मुझे ऐसी नींद सुला दे।

Kitna Aur Dard Dega Bas Itna Bata De,
Aisa Kar Ai Khuda Meri Hasti Mita De,
Yoon Ghut-Ghut Ke Jeene Se Maut Behtar Hai,
Main Kabhi Na Jaagun Mujhe Aisi Neend Sula De.