Gham Shayari in Hindi

Advertisement

Gham Shayari, Ghamon Ne Sahara Diya

जब भी ठोकर लगी तेरे प्यार में मुझे,
मुझको मेरे ग़मों ने सहारा बहुत दिया।
Jab Bhi Thokar Lagi Tere Pyar Mein Mujhe,
MujhKo Mere Ghamon Ne Sahara Bahut Diya.

निकल आते हैं आँसू हँसते-हँसते,
ये किस ग़म की कसक है हर खुशी में।
Nikal Aate Hain Aansoo Hanste-Hanste,
Yeh Kis Gham Ki Kasak Hai Har Khushi Mein.

Advertisement

Barbadi Ke Afsane Kahan Jaate

ना मिलता ग़म तो बर्बादी के अफसाने कहाँ जाते,
चमन होती अगर दुनिया तो वीराने कहाँ जाते,
चलो अच्छा हुआ अपनों में कोई गैर तो निकला,
सभी होते अगर अपने तो बेगाने कहाँ जाते।

Na Milta Gham To Barbadi Ke Afsane Kahan Jaate,
Chaman Hoti Agar Duniya To Veerane Kahan Jaate,
Chalo Achchha Hua Apno Mein Koi Gair To Nikla,
Sabhi Hote Agar Apne To Begaane Kahan Jaate.

Barbaadi Ke Afsaane Ghum Shayari

Advertisement

Kaun Rota Hai Kisi Ki Khatir

कौन रोता है किसी और की खातिर ऐ दोस्त,
सबको अपनी ही किसी बात पे रोना आया।
Kaun Rota Hai Kisi Aur Ki Khatir Ai Dost,
SabKo Apni Hi Kisi Baat Pe Rona Aaya.

ग़म-ए-हयात ने आवारा कर दिया वरना,
थी आरज़ू कि तेरे दर पे सुबह-ओ-शाम करें।
Gham-e-Hayat Ne Aawara Kar Diya Varna,
Thi Aarzoo Ke Tere Dar Pe Subah-o-Shaam Karein.

Advertisement

Tabahiyon Ka Gham Nahi

अपनी तबाहियों का मुझे कोई ग़म नहीं
तुम ने किसी के साथ मोहब्बत निभा तो दी।
Apni Tabahiyon Ka Mujhe Koi Gham Nahi,
Tum Ne Kisi Ke Saath Mohabbat Nibha To Di.

Tabaahiyon Ka Gham Nahi - Gham Shayari

माना कि ग़म के बाद मिलती है मुस्कराहटें,
लेकिन जियेगा कौन? तेरी बेरुखी के बाद।
Mana Ke Gham Ke Baad Milti Hain Muskurahtein,
Lekin Jiyega Kaun? Teri Berukhi Ke Baad.

Advertisement

Shayari Gham Se Baatein Karna

हाल-ए-दिल अपना क्या सुनाएं आपको,
ग़म से बातें करना आदत है हमारी,
लोग मरते हैं सिर्फ एक बार सनम,
रोज पल-पल मरना किस्मत है हमारी।

Haal-e-Dil Apna Kya Sunaayein Aapko,
Gham Se Baatein Karna Aadat Hai Humari,
Log Marte Hain Sirf Ek Baar Sanam,
Roj Pal-Pal Marna Kismat Hai Humari.