Shayari Gham Deewaron Pe Likh Daale

Advertisement

रात को हमने सारे गम दीवारों पे लिख डाले,
बस हम सोते रहे और दीवारें रोती रहीं।
Raat Ko Humne Saare Gham Deewaron Pe Likh Daale,
Bas Hum Sote Rahe Aur Deewarein Roti Rahin.

उभरेंगे एक बार अभी दिल के वलवले,
गो दब गए हैं बार-ए-गम-ए-जिंदगी से हम।
Ubharenge Ek Baar Abhi Dil Ke Valvale,
Go Dab Gaye Hain Baar-e-Gham-e-Zindagi Se Hum.

ये गम नहीं कि अंधेरो से सुलह की हमने,
मलाल ये है कि अब सुबह की तलब भी नहीं।
Ye Gham Nahin Ki Andhero Se Sulah Ki Humne,
Malaal Ye Hai Ki Ab Subah Ki Talab Bhi Nahin.

Advertisement

जब तुम्हें मुझे पाने का कोई शौक नहीं,
तो मुझे भी तुम को खोने का कोई गम नहीं।
Jab Tumhein Mujhe Paane Ka Koi Shauk Nahin,
To Mujhe Bhi Tum Ko Khone Ka Koi Gham Nahin.

मिजाज देखिए कि मैं बासी गम नहीं खाता,
खुदा का शुक्र है ताजी मुसीबत रोज आती है।
Mizaaj Dekhiye Ki Main Baasi Gham Nahin Khaata,
Khuda Ka Shukr Hai Taazi Museebat Roj Aati Hai.

Advertisement

Gam Ka Bojh Ab Sambhalta Nahin

Advertisement

Read more Gham Shayari in Hindi