लोग कहते हैं वक्त किसी का गुलाम नही होता,
फिर क्यूँ थम सा जाता है ग़मों के दौर में?
Log Kehte Hain Ki Waqt Kisi Ka Gulam Nahi Hota,
Fir Kyun Tham Sa Jata Hai Ghamo Ke Daur Mein.
ये रुके-रुके से आँसू ये दबी-दबी सी आहें,
यूँ ही कब तलक खुदाया ग़मे-ज़िंदगी निबाहें।
Ye Ruke-Ruke Se Aansoo Ye Dabi-Dabi Si Aahein,
Yoon Hi Kab Talak Khudaya Gham-e-Zindagi Nibaahein.
क्या जरूरत क्यों जफाएं बागबां तेरी सहें,
जा तुझे गुलशन मुबारक मुझको वीराने बहुत।
Kya Jaroorat Kyun Jafayein Baagbaan Teri Sahein,
Ja Tujhe Gulshan Mubarak Mujhko Veerane Bahut.
इक शामे-ग़म को सुबहे-मसर्रत न मिल न सकी,
कितने ही आफताब चढ़े और ढल गये।
Ek Shaame-Gham Ko Subahe-Masarrat Na Mil Saki,
Kitne Hi Aaftaab Charhe Aur Dhhal Gaye.
सुकून मिलता है दो लफ्ज़ कागज पे उतार कर,
कह भी देता हूँ और आवाज भी नहीं होती।
Sukoon Milta Hai Do Lafz Kaagaz Pe Utaar Kar,
Keh Bhi Deta Hoon Aur Aawaaz Bhi Nahi Hoti.
ग़म की अंधेरी रात में
Gham Ki Zulmat Raaton Mein Chali Aayi